Jabb Ho Har Oarโ€ฆ (04/19/2025)

April 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#2617
               Jabb Ho Har Oarโ€ฆ.

Jabb ho har oar
Duniyavi shor
Chalo Guruji ke praant
Jahaan sab hoga shant.

Ye praant duur nahin
Hai bheetar tumhaare
Ye praant bada hee paawan hai
Anokhe hain yahaan ke nazaare.

Yahaan shanti hai, sukoon hai yahaan
Yahaan rehkar bhool jaata hai jahaan
Guruji Hain itne meharbaan
Ki Unhonei bakhsha hai aisa sthaan
Jo praant hai Unke prakash ka
Jo praant hai Unke sakaash ka
Jahaan antas mein goonjti hai Gurbani
Jahaan ka spandan hota hai sundar aur ruhaani
Jahaan mann kee aankhein karti hain Guruji ke darshan
Jahaan Guruji ke saanidhya mein beet-ta hai har kshan.

Duniyavi shor ke madhya mein
Karte huey Guruji ka manan
Is praant mein kar ke Guruji ke darshan
Saarthak ho jaata hai jeevan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿ™
Dhirja

Jabb Ho Har Oarโ€ฆ (04/19/2025)

Leave a comment