April 26, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2624
Kadam Badhaate Chalo
Kadam badhaate chalo
Surt uthaate chalo
Jodte huey ruhaani taar Guruji ke sangg
Taaki gehra hota jaaye bhakti ka rangg.
Ye rangg pheeka na honei paaye
Is rangg mein vo dhan hai samaaye
Jo kaheen aur na mil paaye
Jo Guru kripa se badh jaaye.
Bano sahi mainey mein dhanwaan
Tum ho bhakt, Guruji Hain tumhaare Bhagwaan
Ho tum pooran Guru ke paas
Rakho poorna shraddha aur vishwaas.
Shraddha aur vishwaas ke badhte badhte
Ye rangg hota jaayega gehra
Bhaagya hota jaayega sunehra
Kyunki praarabdh karma katt jaayega
Paap ka baadal chhatt jaayega
Vivek apne sangg sumat laayega.
Jaise jaise pakka hota chalega rangg bhakti ka
Tumhe andaaza ho jaayega uskee shakti ka
Jo praapt na ho paaye bin Guru Govind ke ashirwaad ke
Jismein samaaye hongei lamhe Guruji kee yaad ke.
Guruji kee yaad mein bitaaya har pal
Badhaata chalega bhakti kee shakti
Guruji kabb mauj mein aakar lekha denge badal
Kabb de dein tumhe kalyaan kee yukti
Ye toh hogi Unkee ichcha
Ye nishchit hai ki sab hoga achcha.
Isliye kadam badhaao
Guruji ke kareeb aao
Is ruhaani safar ko sanvaarte chalo
Bhakti ka rangg nikhaarte chalo.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Kadam Badhaate Chalo (04/26/2025)