Guruji Ke Bhed Ko (04/20/2025)

April 20, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2618
               Guruji Ke Bhed Ko

Guruji ke bhed ko bhakt na jaane
Phir bhi jo bhakt Guruji kee baat maane
Veh bhakti saagar mein doob kar anmol moti paaye
Uska janam safal ho jaaye.

Guruji mein lagan lagaakar
Guruji kee mahima gaakar
Paap nasht ho jaate hain
Jeevan ke kasht kho jaate hain
Bhakti ke ras mein ghul kar
Guru naam amrit mein dhul kar.

Mahaveer vo bhakt jo mann ko vash mein kar paaye
Aisa mahaveer Guruji ko rijhaaye
Isliye zaroori hai Guruji ka manan karna
Mann ko Guruji kee yaad se bharna
Kyunki vaheen kee anubhooti hogi jahaan jaayega mann
Isliye mann par shaasan karna hai ek shreshth saadhan.

Guruji bakhshein sanyam, gyan, dhyan
Jinke dwaara jeete jee mil paaye nirvaan
Guruji ke dar par mumkin hai poorna kalyaan
Ve hee Ved roopi Hain, Ve hee Hain swayam Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji Ke Bhed Ko (04/20/2025)

Jabb Ho Har Oar… (04/19/2025)

April 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2617
               Jabb Ho Har Oar….

Jabb ho har oar
Duniyavi shor
Chalo Guruji ke praant
Jahaan sab hoga shant.

Ye praant duur nahin
Hai bheetar tumhaare
Ye praant bada hee paawan hai
Anokhe hain yahaan ke nazaare.

Yahaan shanti hai, sukoon hai yahaan
Yahaan rehkar bhool jaata hai jahaan
Guruji Hain itne meharbaan
Ki Unhonei bakhsha hai aisa sthaan
Jo praant hai Unke prakash ka
Jo praant hai Unke sakaash ka
Jahaan antas mein goonjti hai Gurbani
Jahaan ka spandan hota hai sundar aur ruhaani
Jahaan mann kee aankhein karti hain Guruji ke darshan
Jahaan Guruji ke saanidhya mein beet-ta hai har kshan.

Duniyavi shor ke madhya mein
Karte huey Guruji ka manan
Is praant mein kar ke Guruji ke darshan
Saarthak ho jaata hai jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Jabb Ho Har Oar… (04/19/2025)

Jo Jeevan Beetey Guruji Ke Charan Mein (04/18/2025)

April 18, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2616

Jo Jeevan Beetey Guruji Ke Charan Mein

Jo jeevan beetey Guruji ke charan mein
Veh jeevan bada ruhaani
Jo mrityu ho Guruji kee sharan mein
Veh mrityu badi suhaani.

Jo lamha beet jaaye Guruji kee yaad mein
Veh lamha hai bade kaam ka
Har vo sthaan dhanya ho
Jahaan japp ho Guruji ke naam ka.

Har veh aangan ho khoobsoorat
Jahaan khilein Guruji ke liye shraddha ke suman
Jal kee har veh boond bann jaaye amrit
Jo Guruji ko kee jaaye arpan.

Bhojan ka har vo kann ho anugrahit
Jo bann jaaye Guruji ka langar prasad
Har uss bhakt ka ho jaaye hitt
Jisey mil jaaye Guruji ka ashirwaad.

Har satsang mein miley param anand
Jabb simree jaaye Guruji kee bataayee Gurbani
Har uss bhakt kee chinta ka ho antt
Jo Guruji ke charnon mein samarpit kar de zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Jo Jeevan Beetey Guruji Ke Charan Mein (04/18/2025)

Guruji Ne Tujhe Hai Bulaaya (04/17/2025)

April 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2615
        Guruji Ne Tujhe Hai Bulaaya

Guruji ne tujhe hai bulaaya
Abb der na kar
Karmon mein abb
Aur her-pher na kar
Guruji Hain Rabb
Unse pyaar kar
Unke paas aa
Unpar dhyan dhar.

Yahaan rehne ka waqt beeta jaa raha hai
Yahaan se jaane ka waqt kareeb aa raha hai
Har pal hai anmol
Har pal β€˜Jai Guruji’ bol.

Unkee raza mein raazi rehna seekhta chal
Is tarkeeb se mushkil samaa bhi jaayega tal
Vaise bhi kuch bhi toh nahin tere haath mein
Shukr hee hai ki Guruji Hain tere saath mein.

Chalchitr hai ye zindagi
Jo miltee rahe Guruji kee bakhshindagi
Toh nikhar jaayegi teri bandagi
Kumm ho jaayegi teri sharmindagi.

Bin vilamb ke kar prayaas
Poori hogi teri laukik aur alaukik aas
Tujhe Parameshwar ne swayam bulaaya hai Apne paas
Ve zaroor sunenge teri har ardaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji Ne Tujhe Hai Bulaaya (04/17/2025)

Kar Chala Kapat… (04/16/2025)

April 16, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2614
              Kar Chala Kapat…

Kar chala kapat
Kar chala galat
Kar ke gaflat
Tu chalta chala.

Tu chalta chala
Bin soche apna bhala
Phir kasht na talaa
Toh haath malaa.

Guruji ne taras khaaya
Tujhe Apne dar pe bulaaya
Tere paapon ko harne
Teri jholi bharne.

Abb jo pahuncha hai Unke dar
Abb aur manmaani na kar
Sukhad ho jaayega safar
Agar Guruji kee marzi se jaayega guzar.

Kewal is janam ke nahin balki baaki pichhle janmon ke bhi
Guruji toh anginat karmon ka khaata karte jaayenge sahi
Ve kar rahe Hain teri raksha
Unhonei tujhe vivek hai bakhsha
Tu nikhaar apna zameer
Ve nikhaarte chalenge teri taqdeer.

Guruji ke charnon mein SadaShiv ka dham hai
Sarvshaktishali aur kalyaankaari Guruji ka naam hai
Sanvaar le karmon ka her-pher
Abb na kar tu aur der
Kar de Guruji ke charnon mein sarvsamarpan
Guruji ke spandan se paripoorna honei de apna antakaran
Swayam mein laata chal sudhaar
Guruji karenge tera beda paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Kar Chala Kapat… (04/16/2025)

Aap Mein Bhaav Yoon Beh Jaaye (04/15/2025)

April 15, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2613

Aap Mein Bhaav Yoon Beh Jaaye

Param poojya Guruji Maharaj,

Aap mein bhaav yoon beh jaaye
Ki koi aur khwaahish na reh jaaye
Aapse mann ye keh jaaye
Ki vo Aapke bharose sabb seh paaye.

Phir kya sankat aur kaisi kathinaayee
Har oar mehsoos ho Aapki vadiyaayee
Srishti mein sabse bade Aap aur Aapki guruyaayee
Aapke dar par hoti har sada sabki sunvaayee.

Mai kehte huey thakk jaaoon beshak
Aap sunte sunte na thakenge
Jaanti hoon ki mai agar maangne se ruk bhi jaaoon
Aap dete dete nahin rukenge.

Kyunki Aap Hain daata
Jinse har bhakt hai paata
Kalyaankaari hai ye nirmal naata
Tabhi har bhakt Aapki mahima hai gaata.

Mai bhi karti rahoon Aapki mahima ka gungaan
Deejiye Apni sewa ka vardaan
Aap mere sab kuch, mai praani tuchh
Jholi mein bhar loon Aapki daya ka daan.

Jaanti hoon ki chhoti padd jaayegi meri jholi
Aapki kripa se Aapki mai holi
Aap mil jaayein jisey, usey toh mil jaaye sukh aisa aparampaar
Ki dhool ke kann se bhi chhota laagey phir ye saara sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aap Mein Bhaav Yoon Beh Jaaye (04/15/2025)

Mera Roam Roam (04/14/2025)

April 14, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2612
               Mera Roam Roam

Guruji, Aapke prati prem bhaav mein
Is bhaav ke chaav mein
Jeevan banee sadhna
Ya sadhna bann gaya jeevan
Ye na samajh paaya mera mann
Lekin itna hai yakeenan
Ki Aapke khayaalon se shuru hota hai har din
Din bhar chayyn nahin aata Aapke khayaalon ke bin
Aapse shukrana kehte aur maafi maangte huey hota hai raat ka aagaman
Lagta hai ki neend mein bhi Aapke khayaalon mein beet jaate hain bahut se kshan
Kya yahee hoti hai preet?
Kya aisee hai bhakti kee reet?
Mujhe ye na aaye samajh
Par mai kyun sawaalon mein jaaoon ulajh
Ye kaafi hai mere liye
Ki Aapne aise lamhe hain deeye
Jinmein ho jaati hai Aapse baat
Chaahe ho din, ya ho raat.

Hai Aapse meri ardaas
Ki kabhi na hona mujh se naaraaz
Duur na jaana kabhi mujh se rooth kar
Varna mai bikhar jaaoongi toot kar
Maati kee mai gudiya hoon
Aapko mai kya tohfa doon
Gunaahon ko rakh kar Aapki paawan sharan mein
Bheetar se sir ko jhuka kar Aapke kamal charan mein
Karti hoon shukriya har aansoo aur har muskaan ka
Mera roam roam karzdaar hai Aap maalik meharbaan ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mera Roam Roam (04/14/2025)

Tum Bade Achche Naseeb Wale Ho (04/13/2025)

April 13, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2611

Tum Bade Achche Naseeb Wale Ho

Vishwaas aisa
Ki koi bhayy na ho
Sanshay na ho
Varna gaye ho kho
Kyunki is raaste par aate hain imtehaan
Tum dekhte chalo Guruji ke kadmon ke nishaan
Tumhaari ruhaani aankhein unhe pehchaan paayengi
Ve aagey ka raasta zaroor dekh paayengi
Tumhaare antas mein Guruji Hain viraajmaan
Isliye antas kee suno jabb aayein imtehaan
Vaheen sunaayee degi Guruji kee awaaz
Vaheen suljhenge kayi ruhaani raaz
Tumhaari unnati ke liye
Tumhaari sadgati ke liye.

Mumkin hai anjaane mein kar do tum galat
Satark raho taaki na ho gaflat
Likha jaa raha hai khaata har pal
Guruji dayalu Hain, lekha denge badal
Apni marzi se
Ya tumhaari arzi se
Ve hee jaanein kaise aur kabb
Tum jaanoge tabb, Ve chaahenge jabb.

Buss, vishwaas rakhte chalo
Guruji ke aanchal mein palo
Tum bade achche naseeb wale ho
Ki poojte ho Guruji Dugri wale ko.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Tum Bade Achche Naseeb Wale Ho (04/13/2025)

Mujh Par Itna Upkaar Kiya (04/12/2025)

April 12, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2610
        Mujh Par Itna Upkaar Kiya

Mujhe Apne charnon mein rakh kar
Mere liye mere pardon ko dhak kar
Mujh par itna upkaar kiya
Guruji, Aapka shukriya.

Mujhe yoon Apne se jod liya
Mujhe har pratikool se duur moad diya
Mujh par itna upkaar kiya
Guruji, Aapka shukriya.

Apni marzi ke anusaar diya jo diya
Meri marzi ko nahin sweekaar kiya
Mujh par itna upkaar kiya
Guruji, Aapka shukriya.

Mujhe Apni sangat mein shaamil kar
Sewa simran ka deeya avsar
Mujh par itna upkaar kiya
Guruji, Aapka shukriya.

Mujhe Apne ashirwaad se karte rehte Hain aabaad
Mere bin kuch boley bhi samajhte Hain mere jazbaat
Mere har bigde haalaat ko dee Apni mamta kee marham kee daat
Mere angg sangg rehkar banaayi meri har bigdi baat
Mujh par itna upkaar kiya
Guruji, Aapka shukriya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mujh Par Itna Upkaar Kiya (04/12/2025)

Unka Shukrana Karte Chalo (04/11/2025)

April 11, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2609

Unka Shukrana Karte Chalo

Raat ka har peher raha hai beet
Abhi se sunaayee de raha hai subah ka geet
Waqt ne nahin rukna
Tum chalte huey na thakna.

Guruji Maharaj ka raaj hai
Kal thaa aur aaj hai
Kal bhi raaj hoga Unka
Unke hukm bin hil na paaye ik tinakaa.

Unhee ke raaj mein hai saver
Beshak usey aane mein lagey der
Uska aana hai nirdhaarit
Kyunki tum ho Guruji par aashrit.

Aankhein moond kar mehsoos karo
Aankhein khol kar dekho
Aati hui saver ka swaagat karo
Guru charnon mein maatha teko.

Guruji Maharaj ke raaj mein
Kalyaan hoga har kaaj mein
Tum bin darte chalo
Unka shukrana karte chalo.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Unka Shukrana Karte Chalo (04/11/2025)