Baarish Aur Musaafir (05/03/2025)

May 3, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2631
Baarish Aur Musaafir

Baarish thi bahut tez
Phir bhi maayoos musaafir chalta jaa raha thaa
Beh rahi thi uskee aankhon se ashrudhaara
Maano baarish ne ashruon se saath dene ke liye kaha thaa.

Jitnee boondein baras rahi thi anekon baadalon se
Shaayad utnee hee barsaa rahin thi aankhein
Dharti bhi diler thi hui
Samaa kar boondon ko pasaare apni baahein.

Guruji ke hukm mein thei dono
Aankhein aur baadal
Pavitrikaran kar rahe thei Guruji
Taaki sunehra ho aane wala kal.

Baarish ka aur ashrudhaara ka
Dono ka samaapt hona thaa nishchit
Lekin sahi samay Guruji ne kiya hua thaa nirdhaarit
Kyunki Ve chaahte thei prakriti aur musaafir ka hitt.

Bhaagya ke indradhanush ko dekhne ke liye
Musaafir kee ankhein rahin thi taras
Aur baadal rahe thei baras
Vyakul thei peene ko indradhanush ka ruhaani rass.

Aasaan toh nahin thaa intazaar
Musaafir rukta, phir chalta thaa baar baar
Baadalon ke garbh se bhi hoti rahi baarish kee bauchhaar
Dono taraf Ishwar par bharosa thaa barkaraar.

Bharosa laaya rangg
Guruji rahe angg sangg
Baandh tootne se pehle baarish gayi thamm
Musaafir thakk raha thaa par chal rahe thei uske kadam.

Karte huey Guruji ka chintan
Musaafir ko dikhee ummeed kee kiran
Indradhanush se sajne lagaa uska mann
Aansoo rukey, aankhein beshak thi numm.

Usey hua ehsaas ki baarish hui kaafi kumm
Usne gagan kee oar dekha toh usey dikha usee kshan
Sundar sa indradhanush aasmaan mein
Maano aaya ho Guruji ke sammaan mein.

Ek indradhanush gagan mein
Aur dooja musaafir ke mann mein
Ye nahin thaa khwaab
Na hee itefaaq
Ye Guruji se sanket thaa musaafir ko
Jisey samajh kar musaafir shukrana mein gaya kho.

Jodey huey Guruji sangg seedhi ruhaani taar
Musaafir Guruji ka dhanyawaad karta gaya baarambaar
Jis indradhanush ka thaa uske antas ko kabb se intazaar
Guruji ne usey uss indradhanush ka sanket dekar kee uspar kripa aparampaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Baarish Aur Musaafir (05/03/2025)

Leave a comment