May 10, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2638
Mil Gaye Hain Ishwar
Jabb hui Guruji sangg pehli mulaakaat
Toh lagaa ki pehle bhi hui hai Unse baat
Ve hee jaanein aisa kyun lagaa mujhe
Mai agyani anjaan, mujhe kaise soojhe?
Badhti gayin Guruji sangg mulaakaatein ruhaani
Sundar banti gayi jeevan kee kahaani
Har saans ho gayi hai Unkee aisee deewaani
Ki Unhee kee kripa se chal rahi hai zindagaani.
Guruji sangg har ruhaani mulaakaat ka anubhav hota hai anokha
Unkee leela itnee mayavi hai ki kabhi kabhi lagta hai aankhon ko ho raha hai dhokha
Lekin Guruji samjhaate Hain aur dete Hain Apni maujoodagi ka pramaan
Jis se pushti hoti hai ki har anubhav hai sachchi ruhaani dastaan.
Guruji ke khayaalon mein hee rehne ka dil karta hai abb
Sukoon hai jabb se jaana aur maana ki Ve Hain Rabb
Ankahi baat bhi sunn lete Hain
Jo jabb Unhe sahi lagey Ve de dete Hain
Meri soch toh hai aparipakva aur tuchh
Shukr hai ki Ve sambhaal rahe Hain sab kuch
Aasra hai Unkee kee rehmat ka
Unka naam hai strot meri himmat ka
Ve hee ibadat, Ve hee mere Khuda
Mujhe gavaara nahin hona abb Unse juda.
Isliye beshak Ve rakhein jis haal mein
Ve rakhein mujhe Apna banaa kar
Mujhe zaroorat nahin bhatakne kee dar dar
Mujhe toh Guruji mein mil gaye Hain Ishwar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Mil Gaye Hain Ishwar (05/10/2025)