Dasha Aur Disha Mere Mann Kee (05/16/2025)

May 16, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2644
    Dasha Aur Disha Mere Mann Kee

Param poojya Guruji Maharaj,

Jee rahi hoon magar mrityu lok mein
Ye maya nahin toh hai kya
Ye toh shukr hai ki mere oopar
Baras rahi hai Aapki daya.

Bahut haseen hain duniyavi bhog aur aakarshan
Mushkil hai inke bina jeena jeevan
Inse milne wala sukh hai asthaayi
Aap dilaate Hain yaad
Inmein khonei na dena Prabhu
Aapse hai ye fariyaad.

Bahut kashtdaayi hotey hain dukh aur sankat
Aapne sikhaaya ki inke dwaara mere hee praarabdh karma rahe hain katt
Aapse hee miltee hai unhe jhelne kee himmat
Har prerna hai Aapki hee inaayat.

Aapse rooh kee taar yoon judi rahe
Ki bhautik aasakti se veh mudi rahe
Aap mein lagi rahe lagan
Aap mein rahoon mai mastt magan
Deewani banoon buss Aapki
Bhaagi na banoon aur paap kee
Dhanyawaad Aapka ki Aap rahe Hain taar
Dhanyawaad Aapka ki Aapne bulaaya Apne dwaar.

Naman uss dukh ko jo Aapse rakhe mujhe jodey
Salaam har uss pal ko jo mera ahankaar todey
Mrityu lok mein jeete huey mujhe na bhooley kshanbhangurta jeevan kee
Daata mere, jeev se Shiv bann-ne ke imtehaan mein sambhaalte rehna dasha aur disha mere mann kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Dasha Aur Disha Mere Mann Kee (05/16/2025)

Leave a comment