May 31, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2659
Param Poojya Guru Sahib
Param poojya Guru Sahib,
Prerna banaa Aapka pyaar
Mann mein aaye kuch vichaar
Har vichaar mein ye jazbaat bahenge
Ki Aap thei, Aap Hain, Aap sada rahenge.
Qubool karna mere sartaaj
Is nimaani ka ye nazraana
Shukr hai Aapki yaad se sajaa hua hai
Varna mera dil reh jaata bilkul veeraana.
Chaand taare ye sabhi
Sajde mein hain jhuke
Aapke hukum pe hee ye
Hawaa chale rukey
Na jaane kal in taaron kee baaraat ho na ho….
Ashirwaad Aapka
Milta rahe sada
Bakhshishein dete rahiyega
Jabb ho koi khataa
Beshak aur kisee ka sir pe haath ho na ho…
Aap sab mein, sab Aap mein
Sach mein aur khwaab mein
Aap chaand taaron mein
Aap aaftaab mein…
Aap…ki… kirpa se hee har din har raat ho….
Aap hee buss Aap hee
Chhaaye Hain chaaron oar
Aapke siwa mujhe
Na soojhe koi aur
Ye jazbaat sada rahe, kuch aur ho na ho…..
Prem kee ye dastaan
Mere Aapke darmiyan
Aap Hain mera jahaan
Mere Guru meharbaan
Aap hon buss saath koi aur ho na ho….
Mujh par ye pyaar Aapka
Inaayat hai ye badi
Iskee badaulat aaj mai
Yahaan par hoon khadi….
Na jaane ye awaaz bhi kal saath ho na ho….
Baadal jaayenge baras
Mann jaayega taras
Paane ko Aapka daras
Beetenge ye baras
Rooh ye Aapki hai deh raakh ho na ho…..
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Param Poojya Guru Sahib (05/31/2025)