Mere Guruji Ka Sahaara Hai (05/21/2025)

May 21, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2649

Mere Guruji Ka Sahaara Hai

Samay aur yug ke saath saath
Jagg ka drishya badalta jaata hai
Jaisa bhi jagg ka nazaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Koi lamha nahin jabb mujhe nahin hoti mere Guruji kee zaroorat
Ve hotey Hain angg sangg toh har pal hota hai shubh mahoorat
Ve yaheen hotey Hain jabb bhi mainey pukaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Guruji jaanein mere liye kya sahi hai aur kabb
Unhee ke bharose choda hai abb sabb
Unka kaaraj sanvaarne ka har tareeka nyaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Bin Unke baare mein jaane bhi mai jeevit rahi hoon Unhee ke ashirwaad se
Ve toh waakif Hain meri har arzi, har fariyaad se
Unke bin abb jeena nahin gavaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai

Duniya ke apne aur paraaye, darasal mein sabhi paraaye hain
Sabhi yahaan karmon ka hisaab chukaane aaye hain
Abb mujhe koi bhi nahin Guruji se zyaada pyaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Shivji ne kaha thaa Brahma se ki dukhi jeevon ko karaane sansaar saagar se paar
Ve Guru ke roop mein aakar unn jeevon ka karenge uddhaar
Unhee Parameshwar ne Guruji ka roop liya saara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mere Guruji Ka Sahaara Hai (05/21/2025)

Shivalay Hai Guruji Ka Dar (05/20/2025)

May 20, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2648
          Shivalay Hai Guruji Ka Dar

Shivalay hai Guruji ka dar
Ye dar hai Unke bhakt ka sachcha ghar
Yahaan pita bhi aur maa bhi Shiv Shakti ke Guru roop mein Hain rehte
Bhakt kee har baat Hain sunte aur baatein Hain kehte.

Nyaayalay hai Guruji ka dar
Jahaan Ve bakhshte Hain, karte Hain maaf
Sabhi ke karmon ko nazar mein rakhkar
Guruji nadar kar ke karte Hain insaaf.

Vidyaalay hai Guruji ka dar
Jahaan aadarsh vaakya hai β€˜banda bann’
Yahee hai sidhaant har kaksha aur har paath ka
Sadupyog karna hai Gurbani ke saath ka.

Vishwavidyaalay bhi hai Guruji ka dar
Jismein praapt hota hai aagey ka gyan
Shiv se jeev bann kar aaya insaan
Bann-ne lagta hai jeev se Shiv Bhagwaan.

Granthaalay hai Guruji ka dar
Guruji ke vishay ke granthon ko suna sunaaya jaata hai
Jo bhi likhta, padhta, aur sunta hai inhe
Vo Guruji kee mahima gaata hai.

Nireekshanaalay hai Guruji ka dar
Jahaan Guruji bhakt ka nireekshan toh karte hee hain
Aur bhakt ko bakhsh kar simran aur dhyan
Usey atma-nireekshan karne ka mauka bhi dete Hain.

Hridayaalay hai Guruji ka dar
Jahaan bhakt kee atma ko miley sukoon aur shanti
Guruji ke prem kee khushboo se mehekta hai ye ghar
Aur atma ko noor bakhshti hai Guruji kee kanti.

Is dar ka mahatva
Is dar par aane wala hee jaan paata hai
Jo bhi Guruji kee kripa aur leela dekhta hai
Vo Unka Ishwaratva maan paata hai.

Guruji Maharaj Hain har bhakt ke
Ye jaane har bhakt Guruji Maharaj ka
Har bhakt ka kalyaan prayojan hai Unn sartaj ka
Ve hee sambhaalein bhaar bhakt ke bhoot, bhavishya, aur aaj ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Shivalay Hai Guruji Ka Dar (05/20/2025)

Bhool Na Jaana… (05/19/2025)

May 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2647
 Bhool Na Jaana…

Bhool na jaana tum jeete jeete
Ki Guruji ke ashish ka amrit peete peete
Jee paa rahe ho tum har pal is janam ka
Varna na jaane kya hota haal is jeevan ka.

Guruji kee vaddi vadiyaayee ko
Unkee param oonchaayee ko
Pehchaan paana nahin hai saral
Beshak koshish karo tum aviral.

Tumhaare kitne kasht, kitnee chunautiyan
Inmein kee Hain Guruji ne kitnee katautiyan
Tumhaare kalyaan ke vaaste
Aur banaaye Hain Unhonei raaste
Bilkul bhi na thaa koi raasta mumkin jahaan
Aur uss raaste se Ve tumhe le gaye vahaan
Jahaan tum soch bhi na sakte thei kabhi
Aur jahaan tum khade ho abhi.

Ye kewal duniyavi raaston ka nahin hai silsila
Jinmein tumhaari kismat ka kamal hai khila
Balki ye silsila hai ruhaani raaston ka bhi
Jinkee parvarish Guruji ne hai kee.

Isliye duniyavi raaston par chalte chalte
Bhoolna nahin ruhaani raaston ka poshan
Duniyavi raaste toh yaheen reh jaayenge
Ruhaani raaste hee karenge aagey ke safar ko roshan.

Guruji bade dayalu Hain
Amrit barsaate rahenge Apne ashish ka
Guruji bade kripalu Hain
Praapak banaayenge tumhe Apni dee bakhshish ka.

Unkee leela tumhe na bhi aaye samajh
Toh bhi jaan lo ki tumhaare kaaraj rahe hain sulajh
Aisee hee hai Unkee meharbaani
Chaahe sangat ho Unkee leela se anjaani.

Kyunki Guruji SadaShiv Hain swayam
Jo sanvaarne aaye hum sangat ke karam
Lekar roop aise insaan ka
Jinmein gupt raha roop Bhagwaan ka.

Guruji ke kamal charan mein hai ardaas bhara vandan
Na chhoote kabhi bhi Guruji ka daaman
Sir sada Unke charnon mein jhuk kar karey Unka naman
Khushnaseeb hai har vo jann, jisey milee Guruji kee sharan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Bhool Na Jaana… (05/19/2025)

Tu Jaan Le… (05/18/2025)

May 18, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2646
         Tu Jaan Le…

Kabb aa jaaye Guruji ko tujh par taras
Kabb Unkee kripa jaaye tujh par baras
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Ve Hain tere akhand sahaare.

Guruji kee marzi bin ek patta bhi na hil paaye
Unkee ichcha se kabb teri kismat khil jaaye
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki tere parivaar ke sabhi sadasya hain Unhe pyaare.

Guruji ke hukm ka tu paalan karta chal
Guruji kee meher se tere kasht kabb jaayein tal
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Unke kalyaan ke tareeke hain nyaare.

Guruji ke dar par jo bhi aata hai
Kabb uska uddhaar ho jaata hai
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki sabhi hain karmon ke maare.

Kaise Guruji trilok ko sambhaalte Hain
Aur kaise Ve sab ko taarte Hain
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Unhee ko naman karte hain saare.

Kabb kis par padd jaaye Guruji kee nazar
Kabb ho jaaye kis par Unkee nadar
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Ve sabhi kee naiya ko lagaate Hain kinaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Tu Jaan Le… (05/18/2025)

Guruji Ka Pyaar (05/17/2025)

May 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2645
                 Guruji Ka Pyaar

Jeevan mein bahut pyaar mila
Thoda nahin, balki beshumaar mila
Phir Guruji ka dwaar mila
Yahaan ke pyaar ka thaa anokha silsila.

Guruji ke dwaar par
Guruji ka pyaar mila is kadar
Ki chhoti padne lagi jholi
Aur mai Guruji kee ho li.

Guruji ke hee khayaal din aur raat
Guruji ke zikr bin poori na lagey koi bhi baat
Har shwaas hai Guruji kee hee dee hui daat
Jeevan ka har pehlu hai Unhee kee dee saugat.

Guruji ke simran mein bhi mehsoos hota hai Unka pyaar
Unke har satsang mein hoti hai Unke ruhaani pyaar kee bauchhaar
Guruji kee sewa mein prateet hota hai Unka kiya pyaar bharaa uddhaar
Jitna samarpan hota hai Unhe, Unke aur kareeb laata hai Unka pyaar.

Guruji se miley paawan pyaar ne badhaaya hai mera atma-vishwaas
Guruji ka pyaar deta hai har pal Unke saanidhya ka mujhe ehsaas
Guruji ke pyaar ke roop mein Guruji Hain mere paas
Guruji ke pyaar kee badaulat hua hai Unka mere mann mandir main vaas.

Varna mai is yogya kahaan
Ki meri ho aisee shubh kismat
Ye toh hai mere Guruji kee rehmat
Ki Unhonei bakhshi Apne pyaar kee divya daulat.

Chaahoon toh bhi na naap sakoon, na tol sakoon
Itna aseem hai Unka pyaar ki mai shabdon mein na bol sakoon
Unhee kee meharbaani se mehsoos hota rehta hai Unka pyaar
Unhee kee daya se badhta jaa raha mera Unke liye pyaar.

Ve nath Hain, Ve Guru aur Ve hee Bhagwaan
Unka pyaar paakar mai hui itnee dhanwaan
Apni is khushkismati par hota hai neevan sa naaz
Guruji ka pyaar mila hai, vo hee hai is naaz ka raaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji Ka Pyaar (05/17/2025)

Dasha Aur Disha Mere Mann Kee (05/16/2025)

May 16, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2644
    Dasha Aur Disha Mere Mann Kee

Param poojya Guruji Maharaj,

Jee rahi hoon magar mrityu lok mein
Ye maya nahin toh hai kya
Ye toh shukr hai ki mere oopar
Baras rahi hai Aapki daya.

Bahut haseen hain duniyavi bhog aur aakarshan
Mushkil hai inke bina jeena jeevan
Inse milne wala sukh hai asthaayi
Aap dilaate Hain yaad
Inmein khonei na dena Prabhu
Aapse hai ye fariyaad.

Bahut kashtdaayi hotey hain dukh aur sankat
Aapne sikhaaya ki inke dwaara mere hee praarabdh karma rahe hain katt
Aapse hee miltee hai unhe jhelne kee himmat
Har prerna hai Aapki hee inaayat.

Aapse rooh kee taar yoon judi rahe
Ki bhautik aasakti se veh mudi rahe
Aap mein lagi rahe lagan
Aap mein rahoon mai mastt magan
Deewani banoon buss Aapki
Bhaagi na banoon aur paap kee
Dhanyawaad Aapka ki Aap rahe Hain taar
Dhanyawaad Aapka ki Aapne bulaaya Apne dwaar.

Naman uss dukh ko jo Aapse rakhe mujhe jodey
Salaam har uss pal ko jo mera ahankaar todey
Mrityu lok mein jeete huey mujhe na bhooley kshanbhangurta jeevan kee
Daata mere, jeev se Shiv bann-ne ke imtehaan mein sambhaalte rehna dasha aur disha mere mann kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Dasha Aur Disha Mere Mann Kee (05/16/2025)

Savera Honei Se Pehle (05/15/2025)

May 15, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2643
            Savera Honei Se Pehle

Mitt jaayega andhera
Ho jaayega savera
Lekar Guruji ka naam
Is satya ko lo tum maan.

Kyunki andhera aur savera
Ye daalein jabb mann mein dera
Toh Guruji ka naam banta hai aisa paigaam
Ki mann mein bann jaata hai Guruji ka dham
Jahaan chhaa jaata hai Guruji ka noor
Aur andhera ho jaata hai duur.

Kisee bhi tareh ka andhera
Guruji ke noor ke samaksh theher na paayega
Isliye Guruji ka naam simarte raho
Is naam ke bin koi bhi peher na beet jaayega.

Mann par beshak honei bhi lagey kabhi andhere ka aakraman
Toh Guruji ke naam ke sahaare ladd kar vijayi hoga mann
Isliye manobal badhaane par kaam karo
Kisee bhi chunauti se tum na daro.

Jo mann rahega Guruji ke naam mein leen
Uske liye har chunauti hogi ksheen
Kyunki Guruji ke naam se miltee hai aisee shakti
Jo banti hai har chunauti ka saamna karne kee yukti.

Guruji ke naam se manobal ko badha kar
Lagan ko poori tareh se Guruji mein lagaa kar
Divyata kee lau jalegi yoon andhere mein
Ki savera honei se pehle hee pahunch jaaoge savere mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Savera Honei Se Pehle (05/15/2025)

Unkee Daya Bhari Meharbaani (05/14/2025)

May 14, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2642

Unkee Daya Bhari Meharbaani

Veeraanon mein bhi aksar phool khil jaate hain
Begaanon mein bhi aksar apne mil jaate hain
Ye ruhaaniyat nahin toh aur kya hai
Ye bhi Guruji kee hee daya hai.

Unkee daya se karmon ke khaate khulte hain
Hisaab poora kar ke saaf honei ke liye
Hum Guruji kee sharan mein bulaaye jaate hain
Apne paap dhonei ke liye.

Swayam ko maanenge ruhaani jeev
Jo nikaley hain insaani safar par
Toh sehej honei lagega karmon ka saamna karna
Kumm ho jaayega museebaton se darna.

Guruji kee kripa se ruhaani oonchaayee chadhenge
Guruji kee vadiyaayee sunte sunaate aagey badhenge
Ruhaani jeevan kee bagiya mein hogi dhoop meethi aur suhaani
Guruji kee kripa se atma hogi Guruji ke prem mein aisee deewani
Ki is deh mein jeete huey rahegi is duniya se begaani
Guruji ne apna liya hai, isliye hum hain bahut khushkismat praani
Hum par barasti hai Unkee daya bhari meharbaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Unkee Daya Bhari Meharbaani (05/14/2025)

Atma-Mantha (05/13/2025)

May 13, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2641
      Atma-Manthan

Guruji ke pyaare bhakt jann
Agar sudhaarna hai ye jeevan
Agar sanvaarna hai janam maran
Toh kar lo Guruji ka vandan
Aur Unke anusaar ho atma-manthan
Taaki jaagey tumhaara soya antakaran.

Pehle pehle toh vish ugalegaa antakaran
Kyunki vish asal mein thaa aakramankaari
Itna samaa gaya vish antakaran mein aniyantrit
Ki banaa tumhaare liye amangalkaari
Isliye uska baahar nikalna zaroori hai
Taaki chakh paao tum amrit kalyaankaari.

Anmol ratna hai Guruji ka naam
Anmol sthaan hai Guruji ka dham
Guruji swayam Hain taruvar sabse pyaare
Aur Ve hee Vaidyanath, har tareh ke roag ke sahaare.

Antakaran ke manthan se
Guruji ke roop mein
Tumhe mil jaayenge sabhi ratna
Tum karo apni oar se prayatna.

Guruji swayam Hain Shiv avatari
Halaahal grahan karne ke liye tayyaar
Taaki Unka bhakt rahe surakshit
Aur Unke bhakt ka ho jaaye hitt.

Tyaago aalas
Baandho dhaadhas
Abb bhi samay hai, atma-manthan mein lagg jaao
Abb bhi samay hai jann, tum jagg jaao.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Atma-Mantha (05/13/2025)

Kamzor (05/12/2025)

May 12, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2640
                          Kamzor

Param poojya Guruji Maharaj,

Kamzor hai meri nazar
Jo kabhi kabhi dekh nahin paati Aapka kiya kalyaan
Kamzor hai meri pakad
Aap kabhi na chodna mujhe, chaahe mai chod doon hokar naadaan.

Kamzor hai mera shabd gyan
Kaise karoon Aapki mahima ka bakhaan
Kamzor hai mera mann
Asthirta mein guzaarta hai anmol kshan.

Kamzor hai mera sabr
Bhool jaati hoon karna shukr
Kamzor hai meri shraddha aur sehenshakti
Nikhar nahin paati isliye bhakti.

Mann kee kamzori ka karte rahiye upchaar
Taaki mann par vijay na paa sakein vikaar
Meri nazar, meri pakad ko dete rahiye Apna sahaara
Kyunki Aapke sahaare bin na ho paayega ek pal bhi mera guzaara.

Mera shabd gyan, mera vivek hai Aapki daya par nirbhar
Honei deejiye kripa kar unpar Aapki kripa ka asar
Sahi aur galat mein fark pehchaanoon
Kya atmasaat karna hai, kya nahin, ye jaanoon.

Mere shukrana ke bhaav ko aisa deejiye banaa
Ki mera har shwaas Aapka shukrana karte huey aaye jaaye
Sehenshakti, shraddha, aur sabr mein hoti rahe badhauti
Kyunki kabhi kabhi mushkil chhoti nahin hoti.

Kamzor hai ye shareer
Pehle se alag lagti hai abb tasveer
Vo toh swaabhaavik hai samay ke saath saath
Ye toh hai maamooli si baat
Buss, Aapki meher se rooh nikharti rahe har pal
Aapki meher se bhakti sanvarti rahe aaj aur kal
Aapki karuna se antas itna Aap mein khota jaaye
Ki Aapke prataap se charitra ka chitr sundar hota jaaye.

Chaarul ho charitra
Antas ho pavitra
Meri rooh par chhaaya rahe Aapka noor
Daata, kabhi na karna mujhe Apne se duur.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Kamzor (05/12/2025)