May 1, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2629
Aapki Nadar Ke Sahaare
Param poojya Guruji Maharaj,
Aapki nadar ke sahaare
Jeevan ke beete huey pal guzaare
Aagey bhi banaaye rakhiyega Apni nadar
Taaki jeevan ke baaki pal bhi yoon hee jaayein guzar.
Kabhi na chodein hum karna Aapki nadar kee kadar
Kyunki Aapki nadar se sanvar rahe hain hum kis kadar
Iska lafzon mein mumkin nahin karna bayaan
Kyunki ye toh hai ek ruhaani dastaanβ¦
β¦Jahaan khoney mein hee paana hai
Jahaan peechhe reh jaata saara zamaana hai
Jahaan har saans Aapki manzoori se aana hai
Jahaan Aapke nakshe kadam par chalte jaana hai.
Bakhshiye sumat
Bakhshiye himmat
Bakhshiye ibadat
Bakhshiye har veh achchi aadat
Hum Aapko rijha paayein jiske dwaara
Aur dete rahiye Apni nadar ka sahaara.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Aapki Nadar Ke Sahaare (05/01/2025)