June 4, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2663
Bin Bhaav Ke…
Bin bhaav ke gyan rahe adhoora
Bin bhaav ke adhoori hai bhakti
Bhaav sakaraatmak ho toh de anukool shakti
Jo baney gyan aur bhakti kee yukti.
Bhaav, shraddha aur pyaar ka
Bhaav, aitbaar ka
Bhaav, sakaraatmak
Bhaav, adhyatmik.
Bhaav, nirantar chintan ka
Bhaav, sarvsamarpan ka
Bhaav, neevenpann ka
Bhaav, bholepann ka.
Bin Guruji ke ashish ke
Aise bhaav bhi na aayein bheetar
Jo aise bhaav aa jaayein
Phir bakhshishon se bharaa hai Guruji ka dar.
Param poojya Guruji, Aapse hai fariyaad
Mann mein basee rahe yoon Aapki yaad
Ki jo bhi bhaav karein Aapko prasann
Unhee se bhaavuk rahe ye mann har kshan.
Kyunki Aapko kar paaoon prasann
Toh chaahiye nahin aur kuch
Aapko prasann karne ke siwa
Baaki har tamanna hai bilkul tuchh.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Bin Bhaav Ke… (06/04/2025)