Pichhle Karmon Ka Bhaar (06/08/2025)

June 8, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2667

Pichhle Karmon Ka Bhaar

Pichhle karmon ka bhaar
Bhavishya kee chinta ka bhaar
Inhe dho kar thakta hai tu baar baar
Lekin abb tujhe Guruji ne bulaaya hai Apne dwaar
Ve karenge tera uddhaar
Isliye himmat na haar.

Pichhle karam tu sakta nahin badal
Aur bhugatna bhi padega phal
Par Guruji kee sharan mein ye jaayenge tal
Ve bhaar halka karenge aur denge tujhe manobal.

Tere buss ka hai hee nahin ye bhaar uthaana
Guruji ne tujhse pehle ye satya hai jaana
Lete huey Guruji ka naam
Unpar bharosa rakhna hai tera kaam
Jinhonei itnon ko sambhaala hai, Ve tujhe bhi sambhaalenge
Tujhe kashton ke har jaal se nikaalenge.

Guruji kee leela hai bahut mahaan
Dariya se gehra hai Unkee daya ka daan
Tu jaanta hai ki Unkee daya se tujh mein hain praan
Unka shukrana kar aur kar praanon ka sammaan.

Guruji Maharaj ne bakhsha hai tujhe aaj
Ve sanvaar rahe Hain tere kaaj
Niyati ko badalne kee kshamta rakhte Hain sartaj
Har tufaan ka saamna karne mein saksham hai Unke naam ka jahaaz.

Guruji kee kripa se is jahaaz par hua hai tu savaar
Shraddha aur saboori rakh, bharose se kar intazaar
Chinta chod kar Guruji ka chintan kar baarambaar
Guruji sada surakshit rakhenge tera ghar parivaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Pichhle Karmon Ka Bhaar (06/08/2025)

Leave a comment