Sada Anantam Shukrana Aapka (06/19/2025)

June 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2678

Sada Anantam Shukrana Aapka

Guruji ke kiye kalyaan se
Chal rahi hai jeevan kee kahaani
Guruji ke shukrana mein
Beete ye zindagaani
Shukrana karna agar bhool gaya
Toh vo hogi badi naadaani
Guruji, Aap yaad dilaate rahiyega
Agar bhool jaaye ye nimaani.

Guruji ke kiye kalyaan bina
Na jaane kya hota haal
Guruji kee kripa ka suraksha kavach
Har haal mein banta hai dhaal.

Yug parivartan ke is samay mein
Kalyugi keher ke bhayy mein
Girebaan mein jhaank kar dekhne par keh uthta hai ye dil
Ki bin Guruji ke sahaare ke toh ho jaati badi mushkil.

Sukh mein Guruji, dukh mein Guruji
Rooh ke toh har rukh mein Guruji
Mukh par bhi Guruji ka naam
Antas mein Guruji ka dhaam.

Phir kaise aur kyun na karein shukrana
Guruji ke kamal charan mein
Jitna shukrana karein Unka vo kumm hai
Anugraha ka bhandar hai Jinkee sharan mein.

Samay raha hai tal
Rishte jaate hain badal
Chhoot jaate hain apne paraaye aaj ya kal
Ye deh bhi marne par jaati hai jal
Kintu Guruji kal bhi thei, aur Hain Ve aaj bhi
Kal bhi rahenge Ve hee
Swayam swayambhu aaye maanav bankar yahaan
Sudhaarne Apne bhakton ka jahaan.

Bhakton ko sweekaar kar Apne charnon mein
Aapne antt kiya kitnon ke dukh santaap ka
Shukrana shukrana shukrana Guruji
Sada anantam shukrana Aapka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sada Anantam Shukrana Aapka (06/19/2025)

Leave a comment