June 28, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2687
Prem Bhaav
Zaroori hai bhakti ka chaav
Zaroori hai bhakti mein prem bhaav
Bin prem bhaav ke bhakti adhoori
Prem bhaav se bhakti ho poori.
Prem bhi vo jo ho niswaarth
Iska prayaas toh kar ke dekho tum, paarth
Suna hai iska anand hota hai anokha
Aur Guruji sangg rishte ka sunehra hota hai ye mauka.
Guruji toh karte Hain saari sangat ka uddhaar
Kintu jo bhakt bhakti mein Guruji ko de niswaarth pyaar
Uss se kitne prasann hotey Hain parvardigaar
Nirmal anand mein rehne wala vo bhakt hee jaane iska saar.
Prem bhaav se hansna hansaana
Prem bhaav se khaana khilaana
Prem bhaav se baatein karna
Prem bhaav se aankhon ka bharnaβ¦
Prem bhaav se naachna gaana
Prem bhaav se vaadya bajaana
Prem bhaav se likhna Unke liye
Prem bhaav se jalaane deeyeβ¦
Prem bhaav se prerit ho pooja upchaar
Prem bhaav mein aadar satkaar
Prem bhaav se shukrana kehna
Prem bhaav se ek saath rehna.
Prem bhaav ka chadhaava
Bin koi dikhaawa
Is rishte ko itna gehra banaaye
Ki vo hadd ke paar guzar jaaye.
Phir toh jo safar hua thaa shuru
Usmein hon kewal bhakt aur uska Guru
Na kabhi koi vikarshan
Na sanshay kisee bhi kshan.
Guruji aur bhakt ka prem badhta rahe
Dono mein se koi beshak kuch na kahe
Baatein ho ruhaani taar dwaara
Anjaan rahe sansaar saara.
Naata rahega nijee jitna
Anand bhi badhega utna
Niswaarth prem ho bhakti ka niyam
Guruji sada rahein bhakt se prasann.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Prem Bhaav (06/28/2025)