June 10, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2669
Aap Hee Ka Sahaara Hai
Saari sangat ko bakhshne wale Guru sarkar
Aap hee ka sahaara hai, priya bakhshanhaar
Aapke siwa sunaani nahin hai kisee aur ko apni pukaar
Kyunki kaheen aur jaana nahin chod kar Aapka dwaar.
Zindagi kee bahaaron aur tufaanon ka shukrana
Unhonei jod kar rakha hua hai Aapse, Guruvar
Bahaaron mein khush rehna hota hai aasaan
Lekin haunsla todne kee taakat rakhte hain tufaan.
Shukr hai Aapke saath ka
Varna abb takk toot jaati
Ye toh Aap Hain jo chalaate Hain
Varna meri himmat mujhse rooth jaati.
Bataa kar toh nahin aaye jeevan ke koi bhi tufaan
Lekin shukr hai ki Aapko hota hai inka gyan
Aap sarvgyani jaante Hain sab
Aaj bhi Aap jaante Hain aur Aap hee jaante thei tabb.
Aap hee jaanein kal ke baare mein
Mai toh buss khadi hoon Aapke dwaare mein
Maangne bakhshishein Aap bakhshanhaar se
Bakhshe bina na lautaana mujhe Apne dwaar se.
Aap Hain jyot ruhaani
Aapke sahaare hai ye zindagaani
Hoti rahegi jo Aapki meharbaani
Toh sambhali rahegi ye nimaani deewani.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Aap Hee Ka Sahaara Hai (06/10/2025)