July 8, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2697
Zindagi Mein…
Zindagi mein aksar aate hain aise pal
Jabb din mein bhi sooraj jaata hai dhal
Mann ke gagan ka
Aisa hai kissa jeevan ka.
Aise mein lekar Guruji ka naam
Sunehri ho jaati hai bin sooraj ke bhi shaam
Kyunki sooraj se kaheen zyada roshan hai Guruji ka naam
Sooraj toh Guruji ko bhi karta hai pranaam.
Asha ka pal ho ya niraasha ka
Santosh ka pal ho ya ho abhilaasha ka
Shukrana ka pal ho ya shikayat ka
Ikraar ka pal ho ya ho ibadat ka
Guruji ke saanidhya mein beete har pal
Toh prerna se paripoorna hoga aaj aur kal.
Prerna, parwardigaar kee
Suraksha, taaranhaar kee
Preet, paalanhaar kee
Hukoomat, Guru sarkar kee.
Guruji ke hukm ka paalan karein
Unhee ke naam se har shwaas bharein
Unhee ke samarpan mein beete ye zindagi
Unke charnon mein miltee rahe Unkee bakhshindagi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Zindagi Mein… (07/08/2025)