Hamaare Karam (08/07/2025)

August 7,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2727
                   Hamaare Karam

Hamaare hee pichhle anubhav
Aur unke prati pratikriya hamaari
Kriya ho ya ho soch hamaari
Ya phir dono saath saath ya baari baari
Yahee toh hain hamaare karam
Jo nishchit karein hamaara bhaagya aur janam maran.

Anubhav jis bhi janam ke hon
Unse judey karam hotey rehte hain sanchit
Praarabdh bhugatna anivaarya hota hai
Taaki atma ka hota rahe hitt.

Kitna achook hai karam ka niyam
Nyayadheesh Guruvar kee hukoomat mein
Ye koi baahari vyavastha nahin
Guruji jo nishchit karte Hain vahee hota hai sahi.

Kathin lagey ya lagey saral
Ye kaayda hai atal
Shukr hai ki Guruji Maharaj aksar
Sambhaalte Hain hamaare karmon ka bhaar adhiktar.

Purusharth toh padega nibhaana
Agar ruhaani safar mein shikhar takk hai jaana
Guruji ne Apne charnon mein deeya hai thikaana
Isliye kyun dhoondhna koi bhi bahaana?

Shukrana karte karte Guruji se maangein himmat
Bakhshish maangte huey maangein Unse sumat
Unkee sharan mein awashya hoga atma ka hitt
Unke kamal charan mein kalyaan hai bilkul nishchit.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Hamaare Karam (08/07/2025)

Leave a comment