August 10,2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2730
Anant Kee Oar
Anant kee oar yaatra karne wale
Na bano tum saadhak darne wale
Guruji ke chintan dwaara ho jaao nirbhay
Anant kee oar badho bina kisee sanshay.
Guruji SadaShiv Hain swayam
Kar do har soch, har karma Unhe arpan
Ve jaante Hain tumhe aur tumhaare jeevan ko
Unka manan dega shanti tumhaare mann ko.
Ye yaatra saadhaaran nahin
Na hee hai ye chhoti si
Anivaarya hai ye anant takk jaane ke liye
Yahaan gunjaaish nahin kisee bahaane ke liye.
Bandd karna hoga mann ka dwaar
Taaki aakraman karne mein safal na hon vikaar
Kendrit rehna hoga Guruji Maharaj par
Rokna hoga duniyavi keechad ka khud par asar
Achchaayee aur sachchaayee kee oar behna hoga
Sadh sangat ke angg sangg rehna hoga
Ekant bhi utna zaroori hai jitna hai atma-nireekshan
Guruji se judey rehne ka prayatn chalna hoga har kshan.
Tumhaare har prayaas ko karega aabaad
Guruji ka karunamayi kripa prasad
Na chodna tum karna prayaas
Na chodna karna Guruji se ardaas
Anant kee oar aayenge pathreele moad
Unhe karna hoga tumhe paar
Oonchaayee bhi karni hogi tayy
Isliye Guruji ke chintan dwaara ho jaao nirbhay
Anant kee oar badho bina kisee sanshay.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Anant Kee Oar (08/10/3025)