Shukrana Ka Afsaana (08/13/2025)

August 13,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2733
               Shukrana Ka Afsaana

Guruji ke charnon mein ho jaaye anuraag jiska
Bhaagya khul jaata hai uska
Guruji ke charnon mein hai vo sharan
Jahaan jo karta hai jitna samarpan
Utna hee sukhdaayi ho jaata hai uska mann
Beshak jaisa bhi chal raha ho uska jeevan.

Kyunki samarpan mein aatmasaat hai vo atal vishwaas
Ki Guruji sada Hain aas paas
Aur har aata jaata shwaas
Unkee meher se lagta hai khaas.

Kyunki har shwaas hai daat
Unka deeya hua
Har kalyaan jo ho raha hai
Vo hai Unka kiya hua.

Kyunki Guruji Hain kalyaankarta
Ve hee Hain dukh harta
Unkee kripa bin nahin mumkin
Kar paana Unhe samarpan
Guruji kee praapti na ho paaye
Unkee kripa ke bin
Isliye jitne pal dete hain tujhe raat aur din
Na gavaa tu unhe har ghadi ko gin gin
Guruji ko yaad karta chal
Safal kar le apna har pal
Unkee yaad se tera antas ho jaaye yoon aabaad
Ki jo ho raha hai vo tu maan lega Unka deeya prasad
Aur iske sangg apne har karma ko bhi karta jaayega tu Unhe arpan
Toh tujhse ho paayega Guruji ke charnon mein sarv-samarpan
Shikayatein hoti jaayengi khatam
Aur shukrana ka afsaana bann jaayega tera jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Shukrana Ka Afsaana (08/13/2025)

Leave a comment