Guruji Kee Dee Prakriti Ka (08/14/2025)

August 14,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»

#2734

Guruji Kee Dee Prakriti Ka

Aye samundar, tu itna na itraa
Tu toh Guruji kee kripa se hai itna bada
Arey taruvar, tu itna sundar hua
Kyunki Guruji kee rehmat ne tujhko chhua.

Sunn le dharti ko dekhte huey tu gagan
Tu jeevit hai Guruji kee paakar sharan
Shokhiyon kee ada se jhoomti hawaayein
Tumhe miltee hain Guruji se divya duaaein.

Agni, apne tej par tu abhimaan yoon na kar
Teri shakti pe hai Guru ashish ka asar
Dharti, Guruji dilavaayein tujhe sammaan
Tere poshan se jeevit hai har insaan.

Paani taruvar aur dharti aur ye gagan
Hawaayein agni karein Guruji ko naman
Srishti mein inkee sewa hai itnee badi
Tabhi Guruji kee kirpa inke sangg hai khadi.

Insaan bann-na nahin tu abb aur naadaan
Prakriti bin na bachenge tujhmein praan
Jagaa rahe Hain Guruji dekar chetna ka daan
Abb bhi samay hai sudhar jaa tu o insaan.

Prakriti hai Guruji ka deeya parsad
Ismein shaamil hain tere liye ashirwaad
Prakriti kee daya se tu hai aabaad
Guruji kee dee prakriti ka kar tu dhanyawaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ™
Dhirja

Guruji Kee Dee Prakriti Ka (08/14/2025)

Leave a comment