August 15,2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2735
Aapke Pyaar Ka Shukrana
Param poojya Guruvar,
Jis dil mein chhaaya thaa ik adhoorapan , ik veeraana
Aapki yaad se aabaad hokar vo hua Aapka deewaana
Na aaye mujhe ardaas karne ka tareeka
Na samajh aaye kaise karoon shukrana
Shukrana ki Aap jaanein mere dil kee
Kyunki mujh nimaani ko toh aata nahin karna shukrana.
Mere lafzon mein vo gehraayee nahin
Jo gehraayee hai mere ehsaas mein
Shukrana ki Aap qubool karte Hain
Jabb ki kitnee khaamiyan hain is das mein.
Phir bhi lafzon ka lekar sahaara
Aapka shukrana karna chaahoon itna saara
Jeevan ka har pal jo Aapki sharan mein hai guzaara
Vo hai meri kahaani ke akash ka khoobsoorat sitaara.
Kyunki har pal mein hain anubhav
Jo huey hain Aapke ashirwaad se
Jo judey hain Aapki yaad se
Jo sajey hain anmol jazbaat se.
Har ghadi, har pal ka shukrana
Kal, aaj, aur kal ka shukrana
Manobal ka shukrana
Kashton ke hal ka shukrana
Din raat ka shukrana
Aapke saath ka shukrana
Aapki har daat ka shukrana
Har baat ka shukrana
Aapke darbar ka shukrana
Aapke deedar ka shukrana
Aapke ikhtiyaar ka shukrana
Aapke pyaar ka shukrana.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Aapke Pyaar Ka Shukrana (08/15/2025)