August 26, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2746
Apne Bheetar Kee Jyot Ko Sweekaar
Apne bheetar kee jyot ko sweekaar
Abb honei de uss se tu apna deedar
Guruji swayam Hain tere mahaan madadgaar
Ve aaj bhi sunn rahe Hain teri rooh kee pukaar.
Guruji Hain Vo jyot, ye hai tujhe gyat
Par bhool jaata hai tu ye baat
Is duniya ke mele mein rehkar
Bhautikvaad kee dhaara sangg behkar.
Bhautikvaad mein behna chod de
Guruji kee oar khud ko moad le
Unke bhaav mein behta chal
Unhe tu apni kehta chal.
Abb bhi samay hai, tu jaag
Bheed ke peechhe matt bhaag
Kar le sadh sangat ka sangg
Kyunki jaisa sangg, vaisa hoga rangg.
Jitna baithega tu Guruji ke saath
Jitnee karega Unse baat
Utna hoga tujhse tera saakshaatkaar
Buss, vaheen hoga uss divya jyot ka deedar
Jismein baste Hain Guruji swayam
Param poojya Paramatama Parabrahm.
Gehraayee mein le jaayega ye safar
Isliye na gavaa tu ye avsar
Maanav janam mila hai aur milee hai Guruji Maharaj kee sharan
Unse kareebi badhaakar sanvaar le tu apna janam maran.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Apne Bheetar Kee Jyot Ko Sweekaar (08/26/2025)