September 7, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2758
Prabhu Ka Naam
Rasna par ras ho Prabhu ke naam ka
Yahee ras hai sabse uttam
Baaki ras kshambhangur hain
Isliye ve sabhi is se adham hain.
Prabhu ke naam ka ras
Prabhu ka yash
Prabhu, jo swayam Hain Guruji Maharaj ke roop mein
Shiv avatari mangalkarta sartaj ke swaroop mein
Jinke naam mein hai vo adbhut shakti
Jo nikhaar de har bhakt kee bhakti
Jo rakhey kshamta bhakt ko dene kee mukti
Jo jaane sabke kalyaan kee yukti.
Guruji ke naam mein hai SadaShiv ka pyaar
Guruji ke naam mein hai pita ka dulaar
Guruji ke naam mein hai ek anokhe rishte ka izhaar
Jo bhakt ko le chalta hai bhavsaagar ke paar.
Guruji ke naam se bhakti ko miltee hai shakti
Guruji ka naam lete lete shuddh hoti jaati hai bhakti
Guruji bhakt kee bhakti mein bhar dete Hain aisa pyaar
Ki Guruji se juda hona lagne lagta hai dushvaar
Phir chaahe muh moad le ye saara sansaar
Bhakt Guruji ka hee naam leta hai baar baar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Prabhu Ka Naam (09/07/2025)