Ye Mishran (09/17/2025)

September 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2768
            Ye Mishran

Vichitra sa hai ye baahari sansaar
Har kshan, anukool aur pratikool ka mishran
Isliye pavitra rakho bheetar ka sansaar
Taaki jaisi bhi ho baahari paristhiti
Anukool rahe bheetar kee sthiti.

Zaroor hogi Guruji kee rehmat
Par khud bhi karni padegi mehnat
Guruji ke kareeb aane ke liye
Varna jeeye toh kya jeeye.

Mann hai deewana
Aksar isey yoon prabhaavit karta hai zamaana
Apna hokar bhi ye ho jaata hai begaana
Aur ye shuru kar deta hai sataana.

Guruji ke kareeb aane kee koshish se
Mann honei lagega apne vash mein
Guruji ke chintan aur yaad se manobal badhega
Jo laabhdaayak hoga har sangharsh mein.

Mann ka bhatakna honei lagg jaayega kumm
Mann ko dagmagaa na paayenge vikarshan
Mann ko sthir aur shant rehne mein hogi aasaani
Usey kamzor karne wali baatein lagne lagg jaayengi begaani.

Sankat bhi bann jaayega avsar
Ruhaani unnati ka
Guruji raasta dikhaate rahenge
Sadgati ka.

Jeevan mein jaari rahega anukool aur pratikool ka mishran
Par Guruji ke prati hoga jitna prem bhaav aur deewaanapan
Utna balshaali hota jaayega mann
Aur ye mishran buss bann kar reh jaayega anubhav ka dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Ye Mishran (09/17/2025)

Leave a comment