Jeevan apne sangg laata hai imtehaan Apne liye bhi tu ye hakeekat le jaan Imtehaan hai ye teri sehensheelta ka Imtehaan hai ye teri sadasheelta ka Teri buddhi ka, teri shuddhi ka Teri himmat ka, teri taakat ka Tere dheeraj aur tere shraddha bhaav ka Teri bhakti ke chaav ka Teri samarpan bhavna ka Tere mann kee kaamna ka Tere bholepann ka Tere neevenpann ka.
Aur bhi anekon tareh se ye Hai tera imtehaan Kuch baatein tu jaanta hai Kuch se tu hai anjaan.
Guruji le rahe Hain imtehaan Shukr kar ki Ve Hain meharbaan Har imtehaan dwaara kar rahe Hain tera kalyaan Chaahe tu is satya ko maan ya na maan.
Tu koshish karta chal Tere kasht jaayenge tal Tu rakhta chal neeyat nek Guruji rahe Hain sab kuch dekh Kategi tere karmon kee fasal Tu imtehaan mein hoga safal.
Guru hee hai tera rakhwala Guruji ke prem mein ho ja matvaala Unke charnon mein lagega tujhe itna achcha Ki rahegi na tujhe moksh kee bhi ichcha.
Pralay aaya hai toh kya hua Shukr hai Guruji kee rehmat ne tujhe hai chhua Tufaan toh aayenge Tujhe hila kar bhi jaayenge Par Guruji le jaayenge tujhe kalyaan kee oar Isliye ghabraa kar chale na jaana kaheen aur.
Ye SadaShiv ka dar hai Bada dayalu Guruvar hai Mamta ke marham se Ve bharenge tere ghaav Tu kumm na honei dena bhakti ka chaav.
Tere apne paraaye chaah kar bhi na teri jo madad kar paayenge Uss se kaheen zyada madad tere Guruji kar ke dikhaayenge Beshak sooraj gaya hai dhal Tu haunsla rakhta chal Nayi subah laayegi phir se sooryoday Zaroor khatm hoga tere jeevan ka pralay.
Titlee mandaraati hui niklee Moar ne machaaya shor Guruji ke aane kee khabar milee Daasi hui bhaav vibhor.
Hawaayein jhoomne lagi Patton ko choomne lagi Patton ne khushi se kee sarsaraahat Utne mein aayi raunak kee aahat.
Guruji Maharaj aaye Apne sangg kuch sangat laaye Guruji sangat ke saath ik taruvar ke sameep ruk gaye Uss taruvar ke patte sangat sangg naman mein jhuk gaye Na jaane kahaan se koi kursi laaya Aur Guruji ko aadar se uspar baithaaya.
Guruji ka swaagat kar rahi thi sheetal ghaas Sangat bhi baith gayi Guruji ke aaspaas Daasi dekhti reh gayi Prem bhaav mein beh gayi.
Do sangat ko Guruji ne dee sewa Apne charan kee Do sangat ko bheja paas ke dhaabe par Bhejne se pehle unke kaan mein Guruji ne kuch kaha Haami milaate huey unhonei maana Guruji ka kaha.
Phir do sangat ko Guruji ne kiya khada Ek ka kadd chhota thaa, ek ka thaa thoda bada Guruji ke kehne par unhonei sunaaye Guruji ke satsang Dekhte dekhte vaatavaran par chhaa gaya Guruji kee mahima ka rangg.
Jabb gayi hui sangat dhaabse se laut kar aayi Apne haathon mein khoob saare paranthe aur chai laayi Guruji ne Apna ashish diya aur sangat ko diya vo prasad Saari sangat ko mila Guruji ka ashirwaad.
Daasi thi anjaan Par Guruji toh Hain jaan-e-jahaan Unhonei ik sangat ko bhej kar daasi ko bulvaaya Daasi itnee khush hui ki usey kuch samajh na aaya Usne aakar Guruji ka kiya naman Guruji ne usey chhoone diye Apne kamal charan Phir usey bhi mila prasad Usne kabhi khaaya na thaa kuch bhi itna swad.
Satsang sunte sunaate huey Sangat baithi rahi Guruji ke paas Aisa prateet hua daasi ko Ki aayi khushboo khaas.
Guruji usey dekh kar muskuraaye Phir ek sangat se khushboo se judey satsang sunvaaye Daasi ko honei lagaa ehsaas tabb Ki ye saadhaaran mahapurush nahin Hain, ye toh Hain Rabb.
Daasi kee aankhon mein aaye prem bhaav ke aansoo Guruji kee Prabhuta ne uskee rooh ko liya chhoo Guruji kee kripa se daasi bhi hui satsang mein shaamil Guruji ke anugraha se daasi ka naseeb gaya khil.
Rasna par ras ho Prabhu ke naam ka Yahee ras hai sabse uttam Baaki ras kshambhangur hain Isliye ve sabhi is se adham hain.
Prabhu ke naam ka ras Prabhu ka yash Prabhu, jo swayam Hain Guruji Maharaj ke roop mein Shiv avatari mangalkarta sartaj ke swaroop mein Jinke naam mein hai vo adbhut shakti Jo nikhaar de har bhakt kee bhakti Jo rakhey kshamta bhakt ko dene kee mukti Jo jaane sabke kalyaan kee yukti.
Guruji ke naam mein hai SadaShiv ka pyaar Guruji ke naam mein hai pita ka dulaar Guruji ke naam mein hai ek anokhe rishte ka izhaar Jo bhakt ko le chalta hai bhavsaagar ke paar.
Guruji ke naam se bhakti ko miltee hai shakti Guruji ka naam lete lete shuddh hoti jaati hai bhakti Guruji bhakt kee bhakti mein bhar dete Hain aisa pyaar Ki Guruji se juda hona lagne lagta hai dushvaar Phir chaahe muh moad le ye saara sansaar Bhakt Guruji ka hee naam leta hai baar baar.
Tumhe dikh nahin raha hai path Jispar badhega aagey tumhaare jeevan ka rath Bharosa karo Guruji par Jinhonei kiya hai uss path ka nirmaan Aur phir tumhe bura nahin lagega ki tum ho path se anjaan.
Balki hogi tasalli tumhe Ki maalum hai Jinhe Ve swayam Hain Bhagwaan Jinhe hai sampoorna gyan.
Aise mein na yojana galat ho sakti hai na samay Isliye tyaag do apne mann ka har sanshay Guruji se maangte chalo bharose ka daan Ve aaj takk rakhte aaye Hain tumhaara dhyan Aur aagey kee bhi Unhe hee hai poori jaankaari Tum buss Unpar sab chod kar karo chalte rehne kee tayyaari.
Beshak path par chunautiyan milengi Path kee kaliyan phool bann kar zaroor khilengi Zaroori hai karna sahi samay ka intazaar Taaki dukh ke baad aaye sukh kee aisee bahaar Jismein ho karma katne kee azaadi kee khushboo Jismein kalyaan tumhaari rooh takk ko jaaye chhoo Taaki kalyaan seemit na rahe tumhaare tann mann takk Isee ke liye toh Guruji kasht uthaate Hain athak.
Isliye path na dikhe toh bhi na daro Guruji kee yaad mein rehte huey aagey badho Ujaala swayam paas aayega tumhaare Roshan karne tumhaare path ke nazaare Hamesha ke jaise chalte raho tum Guruji ke sahaare Isee mein tumhaara poora kalyaan hai, pyaare.
Mere praanon ke aadhaar Mere Guruji, mere Paramatama Parwardigaar Bakhshanhaar taaranhaar Dee hai Aapko pukaar Maante huey aur jaante huey Ki ye vyarth na jaayegi ek bhi baar Kyunki Aap Hain mere praanon ke aadhaar.
Mere sundar Guru sarkar Aakar Aapke dwaar Mila mujhe jo pyaar Kar na paaoon uska izhaar Kyunki vo hai meri kaabiliyat ke paar.
Aisa hai Aapka dulaar Ki raas na aaye duniya ka vyaapaar Magar apne pichhle karmon se hoon laachaar Bhugatne takk uthaana hee hoga unka bhaar Ismein bhi Aap hee Hain madadgaar Kyunki Aap Hain mere praanon ke aadhaar.
Aapki sharan mein nishchit hai mera uddhaar Jaanti hoon laana hoga mujhe swayam mein har din sudhaar Sukh dukh kee leherein jo aati hain baar baar Unke liye hoon mai Aapki shukrguzaar Kyunki unke bin na utaar paaoongi karmon ka udhaar Aur har leher ke sangg Aapne thaami hai meri naiya kee patvaar.
Isliye toh Aapka naman karte huey kehti hoon baar baar Ki Aap hee Hain mere praanon ke aadhaar Aap sunte Hain beshak khamosh ho meri pukaar Khushnaseeb hoon mai ki milta hai mujhe Aapse itna pyaar.
Guruji ke gungaan ka rasna par basna Guruji ke saath baithkar hee rona aur hansna Guruji se karte huey baatein Beetein din aur raatein.
Par jabb takk hai shwaas Sansaar mein karna hai vaas Isliye jin palon mein miley na ekant Ya mann na ho sthir ya shant Unn palon mein jis bhi tareh se Guruji ko yaad kar paaoon Guruji kee daya aur mamta paakar tabb mai sambhal jaaoon.
Guruji Hain itne karunanidhaan Ki Unhonei mujhe Apne se joad liya Na jaane kin kin pratikool aadaton mein padne se pehle hee Guruji ne mujhe Apni oar moad liya Varna trishna jhooth jaisi beemaariyon se aur bhi zyada vyathit hoti rehti Vikaaron ke aakraman ko na seh paati aur unmein aur bhi khoti rehti.
Abhi bhi seekhna hai bahut kuch Kyunki mai hoon praani itnee tuchh Waqt lagega paap dhonei mein Waqt lagega banda bann-ne mein Guruji kshamasheel Hain, Unka hai shukar Ek kshan mein tarr jaaoon jo ho jaaye Unkee meher.
Guruji kee yaad mein rehkar rahoon jaagrit Sochoon kismein hai doojon ka aur apna hitt Guruji ko yoon har pal chete mera chitt Ki meri har buri aadat jaaye sada ke liye mitt.
Guruji ko khush kar paaoon Har din behtar insaan bann paaoon Apne mein abhi laana hai bahut adhik sudhaar Taaki mujh se sada prasann rahein mere Parwardigaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏 Dhirja
Sada Prasann Rahein Mere Parwardigaar (09/04/2025)
Guruji ke naam ka beej Boya jo apne antas mein Guruji kee kripa aisee hui Mai honei lagi Unke buss mein.
Guruji ka simran Guruji ka chintan Guruji kee yaad Mann rehne lagaa inse aabaad.
Mushkilein aayin gayin Guruji kee meher se Guruji ka pehra rehta hai Jeevan ke har peher pe.
Dukh ke pal mein Guruji kee yaad Prerit karti hai karne ko fariyaad Sukh ke lamhe mein Guruji kee yaad aana Bann jaata hai shukrana.
Guruji ke chintan mein samajh aata hai Ki apne karmon se hain sukh dukh Guruji se ardaas rehti hai Ki Unkee oar rahe mere antas ka mukh.
Beej upajtaa rahe Antas sajta rahe Guruji kee divyata se Unke naam kee sheetalta se.
Unke naam ke prataap se Raahat miley dukh santaap se Mukti miley paap se Saakshaatkaar ho asal apne aap se Yaani ki atma se Jo milna chaahe Paramatama se.
Usee milan kee hai ye tayyaari Taaki Guruji kee kripa se aaye baari Jaaoon mai Guruji kee leela par balihaari Jinhonei mere bheetar kee drishti hai sudhaari.
Beej ik din ruhaani taruvar jaayega bann Jis se prafullit ho jaayega sada ke liye mera mann Ruhaani raahon par chalte chalte Guruji ke naam ke sahaare Guruji karte rahenge mere vaare nyaare.
Unpar hai vishwaas Unse lagaayi hai aas Kaheen bhi koi aur nahin Har taraf Guruji hee Guruji.
Arey o mere matvaale mann Seekhta chal rehna Guruji mein magan Khilne de upaasana ka upvan Usee mein hai sachche anand ka dhan.
Tujhe milee hai Guruji kee sharan Yaheen hoga teri har duvidha ka haran Unke charnon mein kar tu samarpan Tu shant aur sthir ho jaayega, o mann.
Jabb takk tujh mein hain sansaar ke vichaar Na hoga tera beda paar Guruji bakhsh rahe Hain tujhe simran Tu kar le simran aur manan.
Aaj nahin toh kal Badh jaayega tera bal Simran aur dhyan mein hai hal Inke dwaara ho jaa tu safal.
Mushkil samay mein ye nahin hota aasaan Tabhi toh isey kaha jaata hai imtehaan Tu chunautiyon se nahin hai anjaan Buss, Guruji ko yaad karte rehne kee tu le thaan.
Isee mein hai har chunauti ka samaadhaan Kyunki Guruji Hain sabse mahaan Aur tu hai Unkee pyaari santaan Isliye abb na bann aur naadaan.
Arey o mere matvaale mann Jitna rahega Guruji mein magan Utna sanvar jaayega tera jeevan Isliye abb vyarth na jaane de tu ek bhi kshan.
Har subah, har shaam Lete chalo Guruji ka naam Har pal ik nayi ummeed Gaate chalo Guruji ke geet Har lamha jo beete udaas Karte raho Guruji se ardaas Har ghadi ka aana jaana Karte raho har ghadi shukrana Kyunki anekon se aur pehle se behtar hai haal tumhaara Jabb se Guruji baney Hain tumhaara sahaara.
Isliye har kshan koshish karo Guruji ke kareeb aane kee Unkee sharan mein milee hai paristhiti naseeb jagaane kee Bhakti bhaav se hokar prerit Guruji ko karo apni oar aakarshit Jitnee badhegi Unse kareebi Utnee badhegi tumhaari khushnaseebi Kyunki Guruji Hain mahasaagar kalyaan ke Aur tum bachche Unhee Bhagwaan ke.
Unhee ka aanchal deta aaya hai tumhe chhaaya Duniya kee duvidhaaon kee dhoop se Ve hee Hain jinhe tumhaari jindri dhoond rahi thi Kyunki uska apnapan hai in Paramatama ke roop se.
Guruji ke kamal charan mein mila hai thikaana Kumm hai jitna bhi kar lo is daat ke liye shukrana Isliye abb bilkul bhi samay na gavaana Jeete jeete Guruji kee yaad mein samaa bitaana Pyaar kee baarish kar rahe Hain Parwardigaar Usmein bheeg kar karaa lo tum apna uddhaar.