Panchhi Ne Udaan Bhari Hai (10/12/2025)

October 12, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2793

Panchhi Ne Udaan Bhari Hai

Panchhi ne udaan bhari hai
Gagan khush hai aur dharti hari bhari hai
Guruji kee meher suraksha bann kar khadi hai
Guruji kee kripa se zindagi aagey badhi hai.

Umda hogi ye udaan
Sangg Hain Guruji mahaan
Ve Hain karunanidhaan
Kar rahe Hain panchhi ka kalyaan.

Panchhi ka dukh kaatkar
Usey udaan ke kaabil banaakar
Guruji ne hai usey bakhsha
Karte Hain Ve uskee raksha.

Shukr hai panchhi hai Guruji kee sharan mein
Usey pooran Guru kee kripa milee dukh haran mein
Tabhi toh udaan bharna hua mumkin
Na ho sakta thaa ye Guruji kee karuna ke bin.

Aagey bhi Guruji hee panchhi ko sambhaalenge
Aagey bhi Ve hee usey taarenge
Uskee udaan sanvaarenge
Uska jeevan sudhaarenge.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Panchhi Ne Udaan Bhari Hai (10/12/2025)

Leave a comment