October 19, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2800
Ujjwal Disha
Yuddh yoddha ko chunta hai
Yoddha yuddh ko nahin
Prakriti ka khel ho ya ho niyati kee kahi
Karmon ke nazariye se shaayad har yuddh aur khel hai sahi.
Aur jo hum Guruji Maharaj kee sharan mein hain
Toh jo Guruji nirdhaarit karte Hain, sahi hai buss vahee
Toh jis praarabdh ka Guruji bhog chaahte Hain karaana
Unse bachne ka nahin chalta koi bhi bahaana.
Guruji se behtar koi sakta nahin jaan
Ki bhakt ke liye kya sahi hai kab aur kahaan
Beshak pichhle karma hotey hain is janam mein bezubaan
Lekin praarabdh bannkar ve kar dete hain behad pareshaan.
Kintu Guruji Maharaj bannkar meharbaan
Praarabdh katvaate huey dete Hain sahaara
Apni marzi se aksar lekha likhte Hain dobaara
Niyati kee kahi ko aksar badal kar dikhaate Hain naya kinaara.
Aise Guru kee sharan mein yoddha hain hum
Har adhyatmik yuddh hota rahega saarthak
Guruji Hain aise mahaan dayavaan
Jo bhakton kee madad karte Hain athak.
Guruji Maharaj ke charnon mein baarambaar naman
Unkee kripa se nikharte rahein rooh aur tann mann
Unke ashish ke aanchal mein rooh palti rahe
Unke maargdarshan se adhyatma ko ujjwal disha miltee rahe.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Ujjwal Disha (10/19/2025)