November 1, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2813
Duniya Dhanyawaad Kee
Teri duniya ho duniya dhanyawaad kee
Guruji Maharaj ke ashirwaad kee
Yahaan fikr nahin apni nimaani aukat kee
Yahaan kamee nahin kisee saugat kee.
Kyunki Guruji kee rehmatein hain beantt yahaan
Jannat se bhi sundar hai ye jahaan
Guruji kee hee meharbaani se
Na ki teri naadaani se.
Guruji kee mahima mein hai apaar bal
Guruji ka dhanyawaad karta chal tu har pal
Beshak raaste mein hon dono phool aur shool
Tu Guruji ka dhanyawaad karna na bhool
Oopari dikhaawe ke liye nahin, balki tahe dil se kar
Arey, tujhe naseeb se mila hai SadaShiv ka dar
Tera bhaagya toh gaya hai sanvar
Guruji kee nigraani mein hai tera safar.
Dhanyawaad se rakh apna dil aur apni duniya aabaad
Dhanyawaad se sajaa apni bhakti ke jazbaat
Dhanywaad har dukh sukh ka, aaj, aur aaj ke baad
Dhanyawaad, kyunki Guru ka diya sab kuch hai Guru prasad.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Duniya Dhanyawaad Kee (11/01/2025)