Mahadev Ke Gann Ho Tum (11/02/2025)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2814
         Mahadev Ke Gann Ho Tum

Mahadev ke gann ho tum
Maante chalo Guruji Maharaj ka hukum
Kyunki Guruji SadaShiv roopi Hain swayam
Unke nirdesh par aadhaarit hai tumhaara janam maran.

Tumhe Apni sewa ka dekar avsar
Guruji ne tumhaara naseeb nikhaara
Jaisa bhi hoga jeevan ka sangraam
Guruji dete rahenge tumhe sahaara.

Tum kintu-parantu kiya bina
Seekh lo jeena
Bin hichkichaaye bin ghabraaye
Unke aadesh ka paalan karo
Tum gann ho Guruji Mahadev ke
Isliye kisee chunauti se na daro.

Guruji tumhe bakhsh kar himmat aur taakat
Karte Hain har sangharsh ke liye tayyaar
Dekar Ve tumhe hunar kee nazaakat
Tumhe bheetar aur baahar se nikhaarte Hain baar baar.

Unhonei diya hai tumhe sabr
Aise raho ki Unhe tum par ho fakr
Unhonei tumhe saahas aur bharosa hai bakhsha
Aur Ve har yuddh mein karte aaye Hain tumhaari raksha.

Tumhaari sadasheelta aur viveksheelta ke daata Hain Guruji
Tumhaari har soch ke gyata Hain Guruji
Unpar rakho apne chitt ko kendrit
Ve sada karte rahenge tumhaara hitt.

Jabb jabb vikaar karein aakraman
Tum lado hokar nirbhay
Jabb jabb galat raaste par jaane lagey tumhaara mann
Tum usey niyantrit karo usee kshan.

Guruji de rahe Hain tumhe ashirwaad
Tum karte chalo Unka dhanyawaad
Har sangharsh hai tumhaara imtehaan
Har pal tumhe dekh rahe Hain Guru meharbaan.

Guruji kee yaad mein rehkar har pal
Badhaaye rakho apne mann ka haunsala aur bal
Tum ho Guruji Maharaj ke gann
Unkee sewa mein rehkar safal honei do apna jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mahadev Ke Gann Ho Tum (11/02/2025)

Leave a comment