Nirankar Toh Avatar Ke Roop Mein (11/05/2025)

November 5, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2817

Nirankar Toh Avatar Ke Roop Mein

Nirankar toh avatar ke roop mein
Aakar jeete Hain dharti kee chhaaon dhoop mein
Guru Nanak Dev Ji aur Guruji Maharaj
In jaise avataron ne sanvaare Hain sangat ke kaaj.

Aaj Ve insaani chole mein nahin Hain beshak
Kintu Unkee mahima aaj bhi hai saarthak
Jeevan daan dekar bakhshte Hain aarogyata
Gurbani se jodkar mann ko pradaan karte Hain prabalta.

Anginat praaniyon ko Ve aaj bhi taarte Hain
Na jaane kitnon ka jeevan sanvaarte Hain
Hum sangat bhi in khushnaseeb jeevon mein hain shaamil
Hum sabki zindagi Guruji ke ashirwaad se rahi hai khil
Banda bann jaane ka raasta dikhaate Hain Ve
Ruhaani azadi se jeena sikhaate Hain Ve.

Guruji Maharaj ka neevanpann aur noor
Karta hai ahankar aur andhere ko duur
Na koi bhaashan na pravachan
Buss, Gurbani ka shravan, kirtan, aur manan
Gurbani ke mahatva ko karke roshan
Guruji karte Hain Gurbani dwaara hamaari rooh ka poshan.

Itna upkaar kiya hai Guruji ne
Jod kar hamein swayam ke sangg
Bakhshte rahein Ve saari sangat ko chadhdi kala
Sabhi par chadhaa kar Apna ruhaani rangg.

Jeevan ka chitr reh jaayega neeras is rangg ke bina
Guruji ke angg sangg rehne se saarthak lagne lagaa hai jeena
Aisa hai Unka maargdarshan aur Unkee guruyaayee
Aisee hai Unkee daya aur vadiyaayee.

Guru Nanak Dev ji ke Aagaman Divas ke shubh avsar par
Saari sangat ko pyaar bhari shubhkaamnaayein
Guruon ke vachan ka paalan kar ke
Hum sab sada Unkee mahima ke gunn gaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Nirankar Toh Avatar Ke Roop Mein (11/05/2025)

Leave a comment