November 13, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2825
Guru Kahoon Ya Kahoon Daataar
Guru kahoon ya kahoon daataar
Pita kahoon ya kahoon paalanhaar
Khuda kahoon ya kahoon taaranhaar
Ek baar kahoon ya kahoon baar baar
Aap hee Hain mere har shwaas ka aadhaar
Aap Hain mere sarvasva, mere Parwardigaar.
Guruji, Aapse kuch chhipa nahin
Aap mujhse zyada jaanein mere mann kee har bhavna ko
Mai avagat hoon ya nahin, mai na jaaoon
Par Aap jaante Hain mere antarmann kee har kaamna ko.
Phir bhi keh deti hoon Aapse kayi baar
Aakhirkaar hoon mai naadaan nimaani
Unn palon ke liye jaise bhool jaati hoon
Ki Aapki hee dein hai ye zindagaani.
Kshama karte rahiyega meri har naadaani
Ye khwaahish bhi hai, guzaarish bhi
Aap dete rahiyega prerna aur chetna
Aur karte rahiye bakhshish kee baarish bhi.
Jaanti hoon Aap rakh rahe Hain mera khayaal
Varna itna behatareen na hota mera haal
Kin lafzon mein mai Aapse shukrana kahoon
Sumat deejiye aisee ki sada Shukrana mein rahoon.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Guru Kahoon Ya Kahoon Daataar (11/13/2025)