Hriday Seโ€ฆ (11/18/2025)

November 18,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#2830
          Hriday Seโ€ฆ

Buddhi se bhaj kar nahin
Hriday se bhajo Guruji ko
Bhaav hee rahasya hai bhakti ka
Aur bhakti kee shakti ka.

Hriday se pyaar
Aur pyaar se sewa, pyaar se simran
Pyaar se satsang, pyaar se samarpan.

Hriday se Shukrana
Param poojya Guruji Maharaj ka
Hriday se saraahana
Unn sartajon ke sartaj kee
Jinke liye hriday rahe deewaana
Bheetar kee vayu ka saaz ho suhaana.

Hriday mein Shiv Shakti ka vaas
Hriday mein Guruji ka nivaas
Hriday mein Unke prati bhaav khaas
Hriday mein Unhe paane kee pyaas.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿ™
Dhirja

Hriday Seโ€ฆ (11/18/2025)

Leave a comment