December 7, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2849
Buss, Guruji Kee Sunn
Buss, Guruji kee sunn
Tu o matvaale mann
Jaise jaise Ve tujhe
Duniyadari se duur kar rahe Hain
Vaise vaise Ve tujh mein
Apna noor bhar rahe Hain.
Honei de is noor ka asar
Kar le is noor kee kadar
Guruji se nibha wafa
Ve kabhi na hongei bewafaa.
Guruji hee Hain iklauta satya
Unkee guruyaayee hee hai tathya
Tattvagyan aur ruhaaniyat ka saar aur vistaar
Guru ke roop mein swayam Parwardigaar.
Duniyadaari ko nibha tu farz samajhkar
Kintu na reh jaa tu ismein ulajh kar
Duniyadaari toh hai kshanbhanghur bahaar
Ismein rehte huey na ulajh ismein baar baar
Tu koshish karne mein matt himmat haar
Tujhe Guruji ne khushkismati bakhshi hai bulaakar Apne dwaar
Guruji kee kripa se hoga tera uddhaar
Unkee sharan mein tu ye janam le sanvaar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Buss, Guruji Kee Sunn (12/07/2025)