December 9, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2851
Sada Sada…
Param poojya Guruji Maharaj,
Aapke charnon mein rehmatein hain beshumaar
Jitna shukrana karoon kumm hai, chaahe karoon baar baar
Har kasht mein bhi hota hai Aapka mangal vidhaan
Kyunki Aap Hain pooran karunanidhaan.
Mera mann samarpit ho jaaye Aapke charan mein
Toh meri har chaahat bhi hogi samarpit kyunki chaahat ka vaas toh hai mann mein
Jo Aap denge swayam
Vo hoga deerghkaalik dhan
Jo mai maangoongi
Vo bolega mera ksheen mann.
Shaayad mujhe pehle hota iska gyan
Toh alag hee hotey mere armaan
Par suna hai ‘der aaye durust aaye’
Aur abb Aapne liya bulaaye
Toh Aap ko saump kar sab kuch
Na pesh karoon ichchaayein tuchh
Sadbuddhi deejiyega
Manobal bakhshiyega
Apni sharan mein rakhiyega
Sada sada, aye mere Khuda.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Sada Sada… (12/09/2025)