December 15, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2857
Guruji Se Pyaar Badhaana
Guruji se pyaar badhaana
Is pyaar ko badhaana rozaana
Bina banaaye koi bahaana
Kyunki ye hai ik aisa khazaana
Jiske sangg jeevan jee paana
Khud mein hai sabse uttam ashirwaad
Jo karega tumhaari rooh ko Guru prasad se aabaad.
Is pyaar mein swaarth na ho
Is pyaar mein tum jaana kho
Is se apne paap lena tum dho
Is se bhakti ka beej lena tum bo.
Isey banaa lo apna swabhaav
Piro do ismein apna bhola bhaav
Jitna hoga tumhe Guruji se pyaar badhaane ka chaav
Uss se kaheen zyada hoga Guruji ka tumhaari oar bahaav.
Kyunki Guruji toh dayanidhaan Hain
Guruji bhakton par meharbaan Hain
Guruji mamta kee khan Hain
Ve toh swayam Bhagwaan Hain.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Guruji Se Pyaar Badhaana (12/15/2025)