Har Din Mubarak Ho (12/25/2025)

December 25, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2867
                Har Din Mubarak Ho

Zindagi beet rahi hai
Guruji kee soumya sharan mein
Soch kar bhi nahin jaan sakte hum
Ki kitna kalyaan ho raha hai hamaare jeevan mein.

Guruji kee mahima anant hai
Anant hain Unke liye kalyaan
Bhakt ginte ginte thakk jaaye beshak
Kalyaan karte Huey na thakein kabhi bhi Guru karunanidhaan.

Har din jo beete Guruji ke kamal charan mein
Vo mubarak din hai hota
Har vo pal hee bada mubarak hai
Jabb bhakt Guruji ke chintan mein hai khota.

Har vo ghadi mubarak
Jo Guruji ke satsang mein jaaye guzar
Har samaa hai mubarak
Jabb Guruji kee sharan mein beet raha ho safar.

Kya kehna uss khushi, uss utsah ka
Kya kehna uss mehek bhari raah ka
Jo Guruji kee daya se sangat paati hai
Aur baar baar Guruji ke dar par aa paati hai.

Guruji Hain Khuda ka noor, aur swayam hee Khuda
Uss divya jyot se hum bhi nahin hain juda
Zaroorat hai toh uss aatmabodh kee, uss ehsaas kee
Ki Guruji kee kripa hai kaaran hamaare har shwaas kee.

Shwaas shwaas mein Guruji ka simran
Shwaas shwaas mein Guruji se ardaas
Ki saari sangat ke liye har din mubarak ho
Aur har naya saal ho khaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Har Din Mubarak Ho (12/25/2025)

Leave a comment