December 31, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2873
Kabhi Socha Bhi Na Thaa
Kabhi socha bhi na thaa
Ki kismat aisa lamha degi dikha
Jo hoga sabse shubh
Jo hoga aisa shuddh
Ki pooran Guru swayam bulaayenge
Apne dar par mujhe Ve laayenge.
Guruji Maharaj, Aapne kee aisee meher
Ki mere jeevan mein aaya vo peher
Jabb Aapne bulaaya mujhe Apne dwaar par
Karne mujh nimaani par nadar.
Kya hogi khushkismati is se badi
Ki mai Aapke satsang mein thi khadi
Sunte huey Aapki leela ka gungaan
Sunte huey Aapki mahima ka bakhaan.
Aapne sharan mein liya hai mujhe jabb se
Aap bulaate Hain Apne satsang mein tabb se
Chhakaate Hain Aap chai aur langar prasad
Dete Hain har tareh se Apna ashirwaad.
Bulaakar Apne mandir ke dwaar
Karvaaya Aapne Apna divya deedar
Aapki divya khushboo se kritaarth hui meri rooh
Shuddhi ke spandan ne mere roam roam ko liya chhoo.
Meri anginat khaamiyon se mai abb bhi hoon anjaan
Kintu Aap karaa rahe Hain dhyan dwaara mujhe meri kamzoriyon kee pehchaan
Pavitrikaran dwaara kar rahe Hain kalyaan
Kar rahe Hain mujh par asankhya ehsaan
Mujhe koi sanshay hee nahin ki Aap hee Hain Bhagwaan
Jo swayam dharti par aaye bannkar Guruji karunanidhaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Kabhi Socha Bhi Na Thaa (12/31/2025)