January 9, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2882
Guruji Ke Aanchal Mein Palee
Guruji ke aanchal mein palee
Jeeti hai ik manchali
Guruji kee dhun mein mastt magan
Dharti par rehkar chhooti hai gagan
Guruji ke pyaar mein bhar kar ruhaani udaan
Gungunaati hui apni ruhaani dastaan.
Baanvri hokar karti hai Guruji kee preet
Jab se usey Guruji mein miley Hain meet
Jaani ki vo kabhi nahin akeli
Ho gayi aur bhi albeli
Khushmizaj aur nirbhay
Mann hee mann kiya usne tayy
Ki vo jeeyegi jeevan
Kar har kaaraj Guru charan mein arpan.
Manchali thi murjhaayi kali
Guruji ne liya usey sharan mein
Toh parivartan hua uske jeevan mein
Guruji ke liye itna pyaar umda uske mann mein
Ki abb Guruji kee hee yaad mein rehti hai
Unhee ke liye aasakti bhaav mein behti hai
Duniyadari mein jeeti hui swayam ko nahin uljhaati hai
Zyada se zyada samaa Guruji kee yaadon mein guzaarti hai
Ek pal bhi na chaahe vo hona Guruji ke pyaar se juda
Shukraguzaar hai vo ki usne Guruji mein paa liya Khuda.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Guruji Ke Aanchal Mein Palee (01/09/2026)