January 24, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2897
Saari Sangat Ka Mangal
Koi nahin bhaar utha sakta kisee ke karam ka
Guru roop mein Bhagwaan ke siwa
Guruji Maharaj Hain pooran Guru
Unka ashirwaad hai karam kaatne kee davaa.
Kisee bhi davaa ke sangg
Parhez zaroori hota hai aksar
Davaa dikhaaye apna rangg
Iske liye jo aaye Guruji ke dar par
Usey kewal Guruji ko hee nahin
Balki Guruji kee bhi maan-ni hai anivaarya
Phir Guruji ka ashirwaad kalyaan na karey
Aisa ho hee nahin sakta bhakt ka koi bhi kaarya.
Isliye har kaaraj ko Guruji ko kar samarpit
Apna sab kuch Unke charnon mein kar arpit
Shraddha aur saboori se dena hoga har imtehaan
Guruji ko sarvashaktimaan jaan aur maan.
Guruji ke hastakshep se
Karam sakte hain tal
Uddhaar sabhi ka mumkin hai
Sabhi ko praapt ho manobal.
Guruji kee kripa ho jaaye sab par
Kisee kee unnati na rokey kalyug ka daldal
Yakeenan Guruji kee marzi mein hee
Hai saari sangat ka mangal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Saari Sangat Ka Mangal (01/24/2026)