January 26, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2899
Surakshit Hai Jeevan
Jiska imtehaan hota hai
Usee ko dena padta hai
Jiska sangraam hota hai
Usey hee ladna padta hai
Har rooh kee apni kahaani hai
Har deh kee apni zindagaani hai
Har kahaani aur zindagaani par Guruji kee nigraani hai
Sabhi ne apni poonji kamaani ya gavaani hai.
Phir vo poonji shubh karmon kee ho ya apakarmon kee
Vo poonji ho na jaane kitne janmon kee
Guruji jaante Hain sabka satya poora
Chaahe poori duniya ko dikhey vo adhoora.
Guruji ke samaksh sabka har rahasya hai khuli kitaab
Guruji ke darbar mein hota hai har imtehaan ka nirnay
Ve hee banaate Hain bhakt ko imtehaan ke liye nirbhay
Har sangraam, har safar Ve hee karaate Hain tayy.
Vishwasneeya hai kewal Unhee ka sahaara
Samay zaaya kiya jisne madad ke liye duniya ko pukaara
Nyaaya aur akhand sachchaayee hai Guruji ke darbar mein
Sahi samay sada vo jo nirdhaarit kiya Guru sarkar ne
Unhee ke charnon mein hai har uljhan kee suljhan
Unkee sharan mein yakeenan surakshit hai jeevan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Surakshit Hai Jeevan (01/26/2026)