Divya Ashirwaad (01/30/2026)

January 30, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2903
                  Divya Ashirwaad

Guruji ke naam ka amrit chakh le
Guruji ka langar prasad chhak le
Har boond, har nivaale ke sangg
Nikharta jaayega teri rooh ka rangg.

Ye nahin hain mehez jal aur bhojan
Ye karte hain rooh ka poshan
Besharte unhe tu kar shraddha bhaav se grahan
Bin laaye mann mein koi ahem ya vehem.

Guruji ke amrit aur langar prasad kee shakti hai mahaan
Guruji ke kripa se ye de sakte hain jeevan daan
Bakhsh kar grahan karne wale ko
Guruji karte hain tann, mann, aur rooh ka kalyaan.

Na karna is amrit ya langar prasad ka apmaan
Inko apne liye aushadhi tu jaan aur maan
Inhe grahan karte samay Guruji ko karta chal yaad
Guruji pirote Hain inmein tere liye Apna divya ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Divya Ashirwaad (01/30/2026)

Leave a comment