Maang Lein Kshama (02/04/2026)

February 4, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2908
Maang Lein Kshama

Shukrana karne ke saath saath
Guruji se maang lein kshama
Na jaane phir mauka miley ya nahin
Tez raftaar se beeta jaa raha hai samaa.

Mann, shareer, ya vaani se
Jaane anjaane mein har din
Kitne dosh ho jaate hongei
Ye kaun sakta hai gin?

In doshon se mil sakey mukti
Kshama yachna hai iskee yukti
Aur kshama maang kar baar baar
Kumm hota jaayega ahankar.

Guruji Hain paatra kripa ke, insaan paatra bhool ka
Itna nimaana ki insaan se ooncha ohda hai dhool ka
Guruji kee kripa se kshama paa le das
Toh ye swayam mein hee ashirwaad hai bahut khaas.

Kshama yachna se Guruji ko sarvsamarpan karne mein miley madad
Isliye bhi kshama maangni zaroori hai satat
Ye hai Unkee sharan mein rehne kee ichcha ka prateek
Ye laata hai bhakt ko Guruji ke aur bhi kareeb.

Kshama maangne mein koi haani nahin
Balki ismein laabh hai das ka sada
Apne hee kalyaan ke liye
Kyun na seekh lein kshama maangne kee ada.

Pooja mein, aur pooja ke pehle aur baad
Guruji se karein fariyaad
Ki Ve hamein kshama karte chalein
Aur Apni kripa se sabki jholi bharein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Maang Lein Kshama (02/04/2026)

Leave a comment