Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar (02/15/2026)

February 15, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2919

Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar

Aa gaya MahaShivratri ka shubh tyohaar
Sadashiv mein yoon leen ho jaayein phir is baar
Ki Unke prati aisa bhaav bahe
Ki aur kuch bhi na yaad rahe.

Guruji Sadashiv ka roop Hain swayam
Har bhakt ke liye sukhdaayi Hai Unkee sharan
Ve Hain Shiv, karte Hain dukhon ka haran
Unke charan sada Hain mangalkaran.

Har khushi har gumm ko
Unke charnon mein karein arpit
Khud ko poori tareh se
Guruji ko karein samarpit.

Baith kar Guruji kee yaad mein
Bheegein Unke ashirwaad mein
Amavasya kee ye raat hai bahut hee khaas
Jisey abb takk na hua, usey bhi ho jaayega ye ehsaas.

Paawan ye tyohaar
Paawan Guruji ka pyaar
Guruji ka ruhaani deedar
Mann mein bhar de aabhaar
Goonje baahar aur bheetar ‘Om Namaha Shivaya‘
Ye yakeenan hai ullaas aur santosh ka upaay.

Satsang mein hon ya mandir mein
Guruji ka dhyan rahe dil mein
Shivlinga ho ya Guruji ka swaroop
Har pooja mein aaye anand anoop
Kyunki Guruji hon aankhon ke saamne
Swayam upaasak ko thaamne
Unke charnon mein jhuka rahe ye sees
Miley aaj kee raat Unse khaas ashish
Vo asal dhan, jo Ve dena chaahein swayam
Kaash, uske kaabil bann paayein hum.

Guruji ke charnon mein hai vandan
Ki Unkee jaisi marzi, vaisa Unka dhyan ho paaye
Ki yoon ho jaaye aaj mann ka manthan
Ki roam roam mein satya ka gyan ho jaaye.

Mahashivratri ka parv lekar aaya hai prerna
Guruji kee kripa se badhe sabki chetna
Har taraf ujaagar ho Shivmayi spandan
Na rahe jaat paat ya aur kisee prakaar ka bandhan
Chetna ka starr badh jaaye poore sansaar mein
Sabhi ichchuk ho jaayein srishti ke uddhaar mein
Guruji kee kripa se sabhi de paayein apna sakaaratmak yogdaan
Toh aur bhi shubh ho jaayega ye paawan parv mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar (02/15/2026)

Leave a comment