February 17, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2921
Sudhaar Meri Zindagaani Mein
Param poojya Guruvar,
Jaanti hoon Aap mere antakaran mein Hain virajmaan
Parantu apni naadaani ke kaaran aksar nahin rehta ye yaad
Deejiye mujhe Apna ashirwaad
Taaki ye satya sada rahe gyat.
Bakhshiye aisee shraddha aur buddhi
Mere bheetar ho jaaye aisee shuddhi
Ki Aapke saanidhya ka rahe nirantar ehsaas
Kyunki mai jaanti hoon ki Aapka mere bheetar hai vaas.
Hriday se yoon pukaaroon
Ki Aap anubhav mein aa jaayein
Har neend jo mai so-oon
Prabhu, Aap hee lori sunaayein
Har baar jaagoon nidra se
Aapki hee awaaz se
Prabhaavit yoon ho jaaoon
Aapke har andaaz se
Ki Aap, Aap, buss Aap
Karein mujh par raaj
Mai daasi bannkar rahnon
Aapki, mere sartaj.
Aapka hee chintan
Aapko sab samarpan
Aisa nirantar kar paaoon
Ek pal bhi na ganvaaoon.
Mujh mein iskee kshamta nahin
Kewal Aap hee kar sakte Hain sab sahi
Shukr Aapka ki mai hoon Aapki nigraani mein
Aapse hee mumkin ho raha hai sudhaar meri zindagaani mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Sudhaar Meri Zindagaani Mein (02/17/2026)