February 18, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2922
Aakhiri Shaam
Koi toh hoga jiskee hogi
Is jeevan kee ye aakhiri shaam
Na jaane vo kaun hai
Isliye kyun na sabhi karein intazaam
Ki har lamhe ka laabh uthaayein
Guruji ko yaad karte jaayein
Kya maalum hamaara vo vela kab aa jaaye
Jabb is tann se praan nikal jaaye?
Guruji kee yaad hee hai asal saath
Baaki har saath reh jaayega yaheen par
Aur vaise bhi Guruji kee yaad mein rahe bin
Adhoora hee reh jaayega ye safar.
Guruji kee yaad mein hai ik adbhut nasha
Jo yoon prabhaavit karta hai mann kee dasha
Ki badal deta hai disha soch vichaar kee
Aur prerna miltee hai atma-sudhaar kee.
Na karein apni aakhiri shaam ka intazaar
Abhi se hee laayein apne mein sudhaar
Guruji kee yaad ko rakhein barkaraar
Guruji ka naam lete chalein baarambaar
Yaheen reh jaayega ye sansaar
Parantu atma jaana chaahti hai uss paar
Jahaan uska ho jaaye unn Parwardigaar se deedar
Jo Guruji bann kar aaye karne sangat ka uddhaar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Aakhiri Shaam (02/18/2026)