Aakhiri Shaam (02/18/2026)

February 18, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2922
                      Aakhiri Shaam

Koi toh hoga jiskee hogi
Is jeevan kee ye aakhiri shaam
Na jaane vo kaun hai
Isliye kyun na sabhi karein intazaam
Ki har lamhe ka laabh uthaayein
Guruji ko yaad karte jaayein
Kya maalum hamaara vo vela kab aa jaaye
Jabb is tann se praan nikal jaaye?

Guruji kee yaad hee hai asal saath
Baaki har saath reh jaayega yaheen par
Aur vaise bhi Guruji kee yaad mein rahe bin
Adhoora hee reh jaayega ye safar.

Guruji kee yaad mein hai ik adbhut nasha
Jo yoon prabhaavit karta hai mann kee dasha
Ki badal deta hai disha soch vichaar kee
Aur prerna miltee hai atma-sudhaar kee.

Na karein apni aakhiri shaam ka intazaar
Abhi se hee laayein apne mein sudhaar
Guruji kee yaad ko rakhein barkaraar
Guruji ka naam lete chalein baarambaar
Yaheen reh jaayega ye sansaar
Parantu atma jaana chaahti hai uss paar
Jahaan uska ho jaaye unn Parwardigaar se deedar
Jo Guruji bann kar aaye karne sangat ka uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aakhiri Shaam (02/18/2026)

Sudhaar Meri Zindagaani Mein (02/17/2026)

February 17, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2921

Sudhaar Meri Zindagaani Mein

Param poojya Guruvar,

Jaanti hoon Aap mere antakaran mein Hain virajmaan
Parantu apni naadaani ke kaaran aksar nahin rehta ye yaad
Deejiye mujhe Apna ashirwaad
Taaki ye satya sada rahe gyat.

Bakhshiye aisee shraddha aur buddhi
Mere bheetar ho jaaye aisee shuddhi
Ki Aapke saanidhya ka rahe nirantar ehsaas
Kyunki mai jaanti hoon ki Aapka mere bheetar hai vaas.

Hriday se yoon pukaaroon
Ki Aap anubhav mein aa jaayein
Har neend jo mai so-oon
Prabhu, Aap hee lori sunaayein
Har baar jaagoon nidra se
Aapki hee awaaz se
Prabhaavit yoon ho jaaoon
Aapke har andaaz se
Ki Aap, Aap, buss Aap
Karein mujh par raaj
Mai daasi bannkar rahnon
Aapki, mere sartaj.

Aapka hee chintan
Aapko sab samarpan
Aisa nirantar kar paaoon
Ek pal bhi na ganvaaoon.

Mujh mein iskee kshamta nahin
Kewal Aap hee kar sakte Hain sab sahi
Shukr Aapka ki mai hoon Aapki nigraani mein
Aapse hee mumkin ho raha hai sudhaar meri zindagaani mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sudhaar Meri Zindagaani Mein (02/17/2026)

Vichitra Iskee Kaaya Hai (02/16/2026)

February 16, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2920
            Vichitra Iskee Kaaya Hai

Prakriti swayam maya hai
Vichitra iskee kaaya hai
Iske kaaran chunauti bann jaati hai
Brahmaandeeya sanket ko pehchaan paana
Vivek shakti aur ichcha shakti ko jaagrit karaana
Kintu jo pooran Guruji kee sharan mein aata hai
Uske liye samay ke saath saath ye thoda aasaan ho jaata hai
Besharte vo Guruji ke hukm mein jeevan karey basar
Aur tayyaar ho honei ko is safar mein agrasar.

Imtehaan toh awashya aayenge
Kayi toh mann ko bhatkaayenge
Kayi toh daraayenge
Kayi samajh hee nahin aayenge
Kuch bahut rulaaayenge
Kuch hairaan pareshaan kar jaayenge.

Sansaar mein jeena hai
Par sansaarik janjaal mein nahin khona hai
Kewal Guruji ka hee hona hai
Agar har mal ko dhona hai.

Guruji swayam Hain Maheshwar
Maya hai Unhee kee shakti
Jo leti hai jeev ka aisa imtehaan
Jismein safalta ke liye bhakti hee hai yukti.

Guruji kee bhakti mein nishtha
Guruji kee bhakti mein bhola bhaav
Guruji ko sarvsamarpan
Guruji se vinamr vandan
Ki Ve maya ke paar dikhaayein
Aur Shivatva ka gyan jagaayein
Taaki jeev Shiv bann-ne kee yatra kar sakey tayy
Usey na baandh sakey koi paash, sanshay, ya bhayy.

Guruji thaame rahein haath
Dein saath bann prerna antakaran mein
Rakhein sada Ve Apni sharan mein
Varna uddhaar mumkin nahin hai jeevan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Vichitra Iskee Kaaya Hai (02/16/2026)

Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar (02/15/2026)

February 15, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2919

Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar

Aa gaya MahaShivratri ka shubh tyohaar
Sadashiv mein yoon leen ho jaayein phir is baar
Ki Unke prati aisa bhaav bahe
Ki aur kuch bhi na yaad rahe.

Guruji Sadashiv ka roop Hain swayam
Har bhakt ke liye sukhdaayi Hai Unkee sharan
Ve Hain Shiv, karte Hain dukhon ka haran
Unke charan sada Hain mangalkaran.

Har khushi har gumm ko
Unke charnon mein karein arpit
Khud ko poori tareh se
Guruji ko karein samarpit.

Baith kar Guruji kee yaad mein
Bheegein Unke ashirwaad mein
Amavasya kee ye raat hai bahut hee khaas
Jisey abb takk na hua, usey bhi ho jaayega ye ehsaas.

Paawan ye tyohaar
Paawan Guruji ka pyaar
Guruji ka ruhaani deedar
Mann mein bhar de aabhaar
Goonje baahar aur bheetar ‘Om Namaha Shivaya‘
Ye yakeenan hai ullaas aur santosh ka upaay.

Satsang mein hon ya mandir mein
Guruji ka dhyan rahe dil mein
Shivlinga ho ya Guruji ka swaroop
Har pooja mein aaye anand anoop
Kyunki Guruji hon aankhon ke saamne
Swayam upaasak ko thaamne
Unke charnon mein jhuka rahe ye sees
Miley aaj kee raat Unse khaas ashish
Vo asal dhan, jo Ve dena chaahein swayam
Kaash, uske kaabil bann paayein hum.

Guruji ke charnon mein hai vandan
Ki Unkee jaisi marzi, vaisa Unka dhyan ho paaye
Ki yoon ho jaaye aaj mann ka manthan
Ki roam roam mein satya ka gyan ho jaaye.

Mahashivratri ka parv lekar aaya hai prerna
Guruji kee kripa se badhe sabki chetna
Har taraf ujaagar ho Shivmayi spandan
Na rahe jaat paat ya aur kisee prakaar ka bandhan
Chetna ka starr badh jaaye poore sansaar mein
Sabhi ichchuk ho jaayein srishti ke uddhaar mein
Guruji kee kripa se sabhi de paayein apna sakaaratmak yogdaan
Toh aur bhi shubh ho jaayega ye paawan parv mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aa Gaya MahaShivratri Ka Shubh Tyohaar (02/15/2026)

Shivmayi Ho Tum (02/14/2026)

February 14, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2918
                 Shivmayi Ho Tum

Shivmayi ho tum
Swayam hee Shivoham
Na baitho hokar gumsum
Shiv mein jaao gumm.

Mahashivratri aa rahi hai
Tumhe divya pukaar bulaa rahi hai
Mahashivratri hai disha parivartan ka avsar
Bhole bhaav se baitho SadaShiv Guruji ke dar par.

Guruji kee sharan mein samarpit ho jaao
Aalasya ko tyaag kar chaitanya ho jaao
Shivratri kee raat hai atma ko jagaane kee
Ye raat hai Guruji ke aur bhi kareeb aane kee
Aur phir is kareebi ko apni oar se badhaate jaane kee.

Guruji rakhte Hain bhakton kee koshish kee laaj
Guruji Hain tumhaare sartaj
Guruji se prem badhaao aaj
Unhe karne do apne dil par yoon raj
Ki tum baney raho Unke das
Phir Ve sada mehsoos hongei tumhe tumhaare aas paas.

Nirantar ‘Om Namaha Shivaya’ ka jaap karte jaao
Sadhna kee agni ko zindagi ke tufaan se bachaao
Isee agni ke tej se phir har tufaan ka saamna bhi kar paao
Har tareh se har pal ke liye Guruji mein kho jaao.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Shivmayi Ho Tum (02/14/2026)

Kahaan Se Karoon Shuru… (02/13/2026)

February 13, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2917

Kahaan Se Karoon Shuru…

Kahaan se karoon shuru
Aur kahaan par karoon khatam
Kehna, ki mere Guruji ne kiya hai
Kis kis tareh se mujh par rehem.

Guruji ke rehem ke bina
Namumkin thaa abb takk jeena
Aagey bhi Unhee ka rehem
Banta rahega mamtamayi marham
Aur kavach suraksha aur kalyaan ka
Aisa prataap hai Guruji meharbaan ka.

Adrishya bhi hota hai Unka rehem aksar
Kintu ho raha hota hai uska mangalkaari asar
Tann, mann, aur rooh par
Kann kann ko chhoo kar
Ik adbhut ruhaani dhangg se
Rangte huey mujhe yoon Apne rangg se
Ki mai Unhee mein khoti jaaoon
Aur dhanya hoti jaaoon.

Guruji ke prati shukrana ke bhaav mein behte behte
Dil nahin thakta ye kehte kehte
Ki Guruji ke taras aur rehem ke bin
Bilkul neeras hota ye safar
Guruji Apna rehem barsaate rahein
Apni saari kee saari sangat par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Kahaan Se Karoon Shuru… (02/13/2026)

Chidanand Roopam (02/12/2026)

February 12, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2916
              Chidanand Roopam

Dukh ka dikhey andhera
Ya sukh ka dikhey savera
Guruji ke charnon mein rahe basera
Kyunki vaheen hai abb sab kuch mera.

Guruji ke charnon mein dukh mein bhi chhipa hai sukh
Dukh mehez hai uske baad aane wale sukh par aavaran
Kyunki poornataya kalyaankaari hai Guruji kee sharan
Unke charnon mein surakshit hai mera jeevan.

Muskuraaoon toh Guruji ke charnon mein
Aansoo bhi bahein toh bahein vaheen
Unke charnon mein jo hona hai ho jaaye mere saath
Aur toh mai na jaaoon kaheen.

Guruji ke charnon mein hai mere mangal ka dwaar
Guruji ke charnon mein nishchit hai mera uddhaar
Guruji Hain SadaShiv aur mai swayam Shivoham
Unhee mein sada dooba rahe mera mann
Unke charnon se laagi rahe meri lagan
Unke charnon mein kar paaoon apna jeevan samarpan
Unka charanodak hai har zakhm ka marham
Mere Guruji toh swayam Hain Chidanand roopam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Chidanand Roopam (02/12/2026)

Sanket (02/11/2026)

February 11, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2915
                 Sanket

Teri soch sudhar rahi hai
Ye teri badhti chetna ka sanket hai
Aur teri zindagi sanvar rahi hai
Kyunki abb tu pehle se zyada sachet hai.

Ye Guruji kee hai meher
Jo aayi badhti chetna kee seher
Tere antakaran mein
Tere jeevan mein.

Guruji kee kripa se hee mumkin hai tera kalyaan
Tu Unka bhakt, Ve tere aaraadhya mahaan
Raaste kee asuri shaktiyon se darna nahin
Kisee kadam par bhi bhatakna nahin
Chalte jaana Guruji kee yaad mein
Sampoorna prataap hai Unke ashirwaad mein.

Guruji se kar aadar bhara pyaar
Unse ardaas kar ke tu apni soch ko sudhaar
Guruji kee bhakti kar apne jeevan ko le sanvaar
Guruji awashya karenge tera beda paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sanket (02/11/2026)

Kewal Aapka… (02/10/2026)

February 10, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2914
                      Kewal Aapka…

Param poojya Guruvar,

Kewal Aapka pyaar laagey pavitra
Jiska bilkul niswaarth hai charitra
Jaan liya aur maan liya
Jab se Aapko Bhagwaan jaan liya.

Duniya bahut sundar hai
Maya iske bheetar hai
Leti rehti hai imtehaan
Hai ye Aapki shakti mahaan.

Anokhe is duniya ke dhangg hain
Yahaan ke badalte rangg hain
Sabhi maya mein malang hain
Jo aaj hamaare sangg hain
Zaroori nahin ve kal bhi hon saath
Kintu Aap sada angg sangg Hain, mere nath.

Sab jaante huey bhi kuch nahin kehna
Chup chaap kaafi kuch sehna
Aap itna sabr dekar ye sikhaa rahe Hain
Jaise jaise Aap saare rangg dikha rahe Hain.

Itne prem se sambhaal rahe Hain mujhe Aap Apne aanchal mein
Kar rahe Hain har pal mera kalyaan, Guruvar
Aapke bharose hee chal raha hai mera safar
Kaise na jaaoon qurbaan mai Aapke pyaar par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Kewal Aapka… (02/10/2026)

Naya Samay, Puraane Sahaare (02/09/2026)

February 9, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2913
      Naya Samay, Puraane Sahaare

Suna thaa ki naya samay Chheen leta hai puraane sahaare
Yakeen hua ispar bin sanshay
Jabb pahunchi Guruji Maharaj ke dwaare.

Karmon ka bhog karaa rahe Hain Guruji
Kuch aisee tez raftaar se
Ki puraane sahaare toh ho jaate nakaam
Shukr hai Guruji ne liya yoon thaam
Ki Unka sahaara raha hai mil
Ye jaan kar shukrguzaar hai mera dil.

Puraane sahaare chhinn gaye toh koi baat nahin
Kyunki abb koi aisa pal nahin jabb Guruji saath nahin
Aur Guruji ka sahaara hai sabse nipun
Unke sahaare mein hai niswaarthata kee dhun.

Shashvat hai Guruji ka deeya sahaara
Bharosa hai ki milega naye samay ka kinaara
Sahi samay Guruji hee karein nirdhaarit
Toh usmein hee hai sampoorna hitt.

Guruji ka deeya sahaara hai atoot aur prabal
Abb Unhee ke sahaare hai mera aaj aur kal
Unhee ke sahaare se jeeti hoon mai har pal
Unhee ke sahaare khila hai mera hridaykamal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Naya Samay, Puraane Sahaare (02/09/2026)