प्यार का स्पंदन (03/31/2026)

मार्च ३१, २०२६

ओम नमः शिवाय
आज का सुविचार 🙏🙏

# २९६३

                          प्यार का स्पंदन

अति-उत्तम है प्यार का स्पंदन
बेशर्ते निस्वार्थ हो वो प्यार
प्यार आरोग्यता का उपाय है ऐसा
जिस से निरोगी हो सकता है समस्त संसार।

चाहे हो वो मानसिक या शारीरिक रोग
चाहे वो हो कर्मों का भोग
निस्वार्थ प्यार है उत्तम उपचार
अनमोल है निस्वार्थ प्यार।

किंतु हम इंसानों का अहंकार
हमें करने नहीं देता निस्वार्थ प्यार
ना जाने कैसे और क्यों
स्वार्थ के समक्ष प्यार मान लेता है हार।

गुरुजी हैं परवरदिगार
वे करें सारी संगत से निस्वार्थ प्यार
ये जानते हुए कि हमारे में हैं अनगिनत विकार
गुरुजी सदा रहते हैं निर्विकार।

कर पायें हम जो गुरुजी से निस्वार्थ प्यार
तो और भी शुद्ध हो जाये हमारे भीतर का संसार
बाहरी संसार तो वैसे ही हमारा नहीं
क्यों ना भीतर के संसार का वातावरण बनायें सही
गुरुजी संग निस्वार्थ प्यार का रिश्ता निभायें
इस निस्वार्थ प्यार के पारस्परिक नाते में रम जायें
बाहरी संसार की वफ़ा तो कभी कम होती है कभी ज़्यादा
गुरुजी संग वफ़ा का निभायें श्रद्धा से वादा
यही रिश्ता आगे भी काम आयेगा
बाक़ी हर रिश्ता यहीं रह जाएगा
क़र्ज़ और फ़र्ज़ हैं बाक़ी रिश्ते सब
निस्वार्थ रिश्ता निभाते हैं केवल रब
हम भी छोड़ दें इस रिश्ते में लेन देन और व्यापार
निस्वार्थता को अपनाकर हम करें गुरुजी के निस्वार्थ प्यार को स्वीकार।

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

जय गुरुजी 🙏🙏
धीरजा

प्यार का स्पंदन (03/31/2026)

Adheen (03/30/2026)

March 30, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2962
              Adheen

Guruji Maharaj Hain Apne bhakton ke adheen
Kintu kya hum ho gaye hain itne Shivleen
Ki tann mann se Unke ho gaye Hain hum
Kya hum kar paaye hain Unhe sarvsamarpan?

Kisee aur ko nahin, khud ko hee dena hoga is sawaal ka jawaab
Guruji toh jaante hee Hain, hum sab hain Unke liye khuli kitaab
Pita Paramatama kaise na jaanenge Apne bachchon ke bheetar kee baat
Hum beshak Unkee chhoti si kiran hain, Ve toh swayam Hain aaftaab.

Ve rakhte Hain Apni har kiran ko roshan
Ve karte Hain Apne prataap se har kiran ka poshan
Aur har kiran shaam aane par Unhee mein jaati hai samaa
Kyun na aisa samarpan kar hum lein Unkee panaah?

Guruji baithey Hain phailaakar Apna aseem aanchal
Is aanchal mein har bhakt kar de jo sab samarpan
Toh khud ko zindagi aur karam na lagenge jaise koi bhaar
Kyunki har bhaar Apne aanchal mein sanjo lenge Guru Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Adheen (03/30/2026)

Guruji Hee Ehsaas Mein (03/29/2026)

March 29, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2961

Guruji Hee Ehsaas Mein

Guruji hee ehsaas mein
Guruji hee har shwaas mein
Guruji hee vishwaas mein
Guruji hee awaaz mein
Guruji har geet har saaz mein
Guruji hriday ke niwaas mein.

Guruji hee Guruji
Baahar aur bheetar
Guruji hee Guruji
Idhar aur udhar.

Guruji hee Guruji
Chaahe netra khuley hon ya hon bandd
Guruji hee Guruji
Chaahe chehre par hon aansoo ya phir muskaan mandd.

Har kaam Guruji ko arpit
Har imtehaan Unhe samarpit
Har pal Guruji ko chete chitt
Guruji sadaiv karein bhakt ka hitt.

Guruji hee Guruji
Bheed mein aur ekant mein
Guruji hee Guruji
Shor mein aur shant mein.

Guruji se hee shuru safar
Guruji par hee ho khatam
Aisa ho jiska jeevan
Uska toh safal ho jaaye janam maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Guruji Hee Ehsaas Mein (03/29/2026)

Sahi Disha Aur Manzil (03/28/2026)

March 28, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2960
Sahi Disha Aur Manzil

Bheetar kee oorja toh bahegi
Ye toh hai uska niyam
Zaroori hai oorja ka sadupyog
Veh vyarth na jaane paaye
Anaavashyak vichaar aur vyavhaar se swayam ko bachaana
Oorja ahankar mein parivartit na honei paaye.

Guruji se ardaas karein
Ki Ve hamaari oorja ko sahi disha bakhshein
Sewa, simran, satsang kee oar
Ruhaani insaaniyat ke rangg kee oar
Aur har uss disha mein jahaan Ve le jaana chaahein
Thaam kar hamaari baahein
Jis tareh se ho Unkee ichcha
Kyunki Unka nirnay sada hai achcha.

Guruji hee sanchaalak bann kar rahein is oorja ke
Guruji hee araadhya bann kar rahein pooja ke
Ve SadaShiv ka swaroop Hain swayam
Koi aur nahin Unse oopar
Aur Ve hee pradaata Hain is oorja ke
Jo hai hum sangat ke bheetar.

Guruji hee Hain praanon ke aadhaar
Bheetar kee oorja hai Unka hee ashirwaad
Judey rahenge oorja aur praan jo Guruji Maharaj se
Toh sahi disha aur manzil ka ashish milega Guru sartaj se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sahi Disha Aur Manzil (03/28/2026)

Mann Roopi Akash (03/27/2026)

March 27, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2959
                 Mann Roopi Akash

Kaag ho ya ho tota
Panchhee bada ho ya ho chhota
Sundar ho ya na ho aakarshak
Akash ko nahin padta koi fark
Akash rehta hai vaisa hee… …sthir
Chaahe panchhi udey ya jaaye gir.

Baadal garjein ya barsein
Ya barasne ko tarsein
Akash unhe karta hai dhaaran
Kintu asthir nahin hota is kaaran.

Beshak sooraj chamke ya ho raat chandni
Ya phir ho amavasya kee raat
Akash tabb bhi sthir rehta hai
Usey pareshaan nahin karti koi baat.

Jaisi bhi ho paristhiti
Kaayam rehti hai akash kee sthiti
Aisa ho jis jann ka mann
Kitna sukhad ho uska jeevan.

Mann ke sthir rehne se
Bhaav ke bin vahaan rukey behne se
Jeevan ho kitna santulit
Ho jaaye har jann ka hitt.

Guruji ne bakhsha hai dhyan aur simran
Jiske dwaara badhta hai manobal
Is se sthirta badhti rehti hai mann kee
Santushti aur shanti badhti hai uss jann kee.

Zaroori hai simran aur dhyan ka prayaas nirantar
Taaki bal badhta rahe mann ke bheetar
Is se nikharta hai adhyatmik safar
Kalyaankaari hai is safar mein hona agrasar.

Jeevan mein toh aate rahenge utaar chadhaav
Lekin Guruji se jo badhta rahega judaav
Toh Unkee kripa se poshit hoga simran aur dhyan ka chaav
Aur mangalkaari hoga sthir mann ka bhaav.

Iskee oar jo prayaas hota rahega har pal
Toh mann roopi akash sthir ho jaayega aaj nahin toh kal
Taaki koi bhi vikaar ya vichaar roopi panchhi
Uske santulan ko bigaadne mein nahin hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Mann Roopi Akash (03/27/2026)

Antarjaat Anand (03/26/2026)

March 26, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2958
                  Antarjaat Anand 

Anand toh hai antarjaat
Yaad rakhni hogi ye baat
Dukh sukh toh mehez hain aavaran
Lekin inpar yoon nirbhar ho jaata hai jeevan
Ki hum bhool jaate hain aantarik anand ko
Bhool jaate hain Satchittanand ko.

Jahaan se aaye hain
Aur jaana hai jahaan
Usey bhoole baithey hain
Kya itna pasand aaya hai ye jahaan?

Yahaan do chaar din ka hai basera
Aur apne bheetar hai anand ka savera
Ye yaad rakhein toh hoga hamaare liye achcha
Ye kewal ek vichaar nahin, ye hai tathya sachcha.

Guruji se judey rehne ka prayaas kiya jaaye
Guruji ke chintan ko samay deeya jaaye
Aur Guruji se kee jaaye fariyaad
Toh antarjaat anand rahega yaad.

Guruji toh Hain rasik bairagi swayam
Hamaare liye aaye aur jeeya Unhonei maanav ka jeevan
Unkee prerna se itna toh kar hee sakte hain hum
Ki shukrana karte huey karein Unka anusaran.

Shukrana ka ehsaas swayam mein uss anand kee yaad dilaayega
Jisey mehsoos karne kee koshish se hee dukh sukh ka aavaran hatne lagg jaayega
Apne bheetar anand ka anubhav hee hai mukti
Is se gehri nahin hai koi yukti.

Swayam ko yaad dilaana hoga baar baar
Karna hoga khud ko tayyaar
Jaa kar mann, buddhi, chitt, ahankar ke paar
Milega is param anand ka sansaar
Guruji kee kripa se bheetar chalein is param anand kee oar
Vaheen milegi divya jyot se ujjwal bhor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Antarjaat Anand (03/26/2026)

Anandit Rahega Gurumukhi (03/25/2026)

March 25, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2957

Anandit Rahega Gurumukhi

Paap kee parakaashtha ko lagey jo chot
Aise mein toh mitnee hee hogi khot
Isliye kalyuga ke baad satyuga awashya aata hai
Apne sangg shubhta ka drishya laata hai.

Ye toh hui baahari yug kee baat
Adhyaatma kee yatra toh chalti hai bheetar
Har yug mein, har din, har raat
Tann aur mann se atma kee oar badhne ka hai ye safar.

Rakhna hoga khayaal tann aur mann ka bhi
Aadar karna hoga Guruji ke har vachan ka bhi
Guruji ne bakhsha hai simran
Karna hoga uske dwaara mann ka pavitrikaran
Nitya ke abhyaas se
Nishthapoorna vishwaas se.

Hotey hotey mann hoga shant aur sthir
Atma kee oar aur dhyan lagg paayega phir
Paap dhulne lagega
Dwaar khulne lagega
Jaagriti ka
Sanvari hui aakriti ka.

Prabal hota chalega Shivoham ka ehsaas
Bheetar yoon ho jaayega is ehsaas ka vaas
Ki baahya lagne lagega baaki sab
Kyunki apne bheetar hee mil jaayenge Rabb
Guruji kee divya jyot ke swaroop mein
Aur Unka noor nikhaar laayega rooh ke roop mein.

Kyunki Unka hee ansh hai ye rooh
Jisey Unka noor lega chhoo
Aur jabb roshan hoga bheetar ka sansaar
Tabb vo anand hoga har duniyavi sukh ke paar.

Jeete jee milegi mukti
Safar hoga satyugi
Na bheetar se na baahar se hona padega dukhi
Guruji kee kripa se anandit rahega Gurumukhi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Anandit Rahega Gurumukhi (03/25/2026)

Abb Duur Nahin Hai Bhor (03/24/2026)

March 24, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2956

Abb Duur Nahin Hai Bhor

Abb Duur Nahin hai bhor
Na jaana kaheen aur
Guruji ke dar par raho sthir
Guruji kee leela dekho phir.

Andhere mein bhi Guruji kar rahe Hain tumhaara kalyaan
Kar rahe Hain tumhaare liye Ve sundar bhor ka intazaam
Tumhe mila hai SadaShiv ka aashray
Tyaag do tum har bhay aur sanshay.

Hai ye asal sadhna ka saar
Ye le chalta hai mukti ke dwaar
Iske liye sthir karna hai mann ka sansaar
Vash mein karna hoga apna vichaar aur vyavhaar.

Bhor toh honi hee hai aaj ya kal
Guruji kee kripa se kasht aaj ya kal jaayenge tal
Ye hotey hotey vyarth na ganvaao koi bhi pal
Prayaas karo ki badhey manobal.

Guruji kee yaad mein leen raho
Guruji deendayal, tum deen raho
Guruji ne thaami hai tumhaare karmon kee doar
Ve uddhaar kar rahe Hain, abb duur nahin hai bhor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Abb Duur Nahin Hai Bhor (03/24/2026)

Tum Chal Kar Dekho Toh Sahi (03/23/2026)

March 23, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2955

Tum Chal Kar Dekho Toh Sahi

Guruji ke roop mein
Bholenath Hain tumhaare saath
Kalyuga kee karkash dhoop mein
Unhonei thaama hai tumhaara haath.

Tum toh ho musaafir yahaan
Aur Guruji sarv-vyapi Bhagwaan
Tum jaaoge jahaan jahaan
Guruji kee tumpar nazar hogi vahaan.

Isliye satark bhi rehna aur beparwaah bhi
Masti mein rehna par laaparwaah nahin
Laukik khwaahishon ke paar hai Guruji ka asal dham
Vahaan ke liye dene padte hain alag se imtehaan.

Saari baat bhaav kee hai
Sudharte huey swabhaav kee hai
Paripoornata ke ehsaas kee hai
Guruji par poorna vishwaas kee hai.

Guruji mein rakhte chalo aastha
Ve tayy karaayenge raasta
Unn jaisa maargdarshak koi bhi nahin
Arey, tum chal kar dekho toh sahi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Tum Chal Kar Dekho Toh Sahi (03/23/2026)

Fateh Ka Geet (03/22/2026)

March 22, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2954
                      Fateh Ka Geet

Laachaari toh padegi mitaani
Agar himmat se jeeni hai zindagaani
Aur jabb Guruji Hain sangg tumhaare
Toh kyun jeena laachaari ke sahaare?

Laachaari banaa degi tumhe apna das
Isliye duur karo laachaari ka ehsaas
Iske liye karo parishram bhara prayaas
Rakhkar Guruji par poorna vishwaas.

Guruji kee yaad mein raho har pal
Yoon badhega Unkee kripa se manobal
Ki mitt jaayega laachaari ka naam-o-nishaan
Nikhar jaayega atma-vishwaas aur swaabhimaan.

Tum Guruji kee sharan mein ho
Laachaari ka yahaan nahin koi kaam
Guruji SadaShiv Hain, Sarveshwar Hain
Srishti mein sabse uttam hai Unka dham.

Jiskee raksha kar rahe hon swayam Bhagwaan
Usey zaroorat nahin kisee aur ke sahaare kee
Beshak aa jaaye bhayankar pralay
Uskee naiya ko manzil milegi kinaare kee.

Isliye Guruji par sabb kuch chod kar
Laachaari kee salaakhon ko toad kar
Judte huey Guru sarkar se
Fateh ka geet gaate chalo pyaar se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Fateh Ka Geet (03/22/2026)