March 8, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2940
Satya Ke Bodh Ka Ashirwaad
Param poojya Guruji Maharaj,
Aapki sharan mein honei lagg raha hai dridh ehsaas
Ki koi aur kuch nahin hai Aapse khaas
Aap hee toh Hain ik satya
Baaki sukh dukh ka naam sansaar hai
Apne uss swaroop se karaayiye meri pehchaan
Jo is sansaar ke paar hai.
Kyunki jabb se Aapki meher se gehra ho raha hai Aapse naata
Toh yahaan lagta hee nahin hai abb jee, mere daata
Yahaan rehte huey jo bheetar dekh paaoon satya ka jahaan
Toh Aapki badi kripa hogi, mere karunanidhaan.
Sansaar ke is sukh dukh mein hee phans ke na reh jaaoon
Aapki yaad aur Aapke naam ka dhan kamaaoon
Laukik dhan kuch lamhon ka hoga isliye alaukik dhan paana chaahoon
Yogya nahin hoon iske liye, isliye ardaas Aapse ki Aapki daya mai paaoon.
Mai is oar yatna kar paaoon, deejiye mujhe aisee lagan
Aapki kripa se satya kee oar hee aakarshit ho mera mann
Aapse judi rahoon mai apna saara jeevan
Aapke swaroop ke satya ko samarpit ho mera janam maran
Toh phir is sansaar mein jeete huey
Yahaan ke sukh dukh kee nirarthakta rahegi yaad
Par ye tabhi mumkin ho sakta hai
Jabb Aap dein is satya ke bodh ka ashirwaad.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Satya Ke Bodh Ka Ashirwaad (03/08/2026)