Saarthak Hogi Meri Zindagi (03/09/2026)

March 9, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2941
         Saarthak Hogi Meri Zindagi

Gyan ko utaara jaaye aacharan mein
Toh hee saarthak hoga vo gyan
Varna uss se badhega jhootha sammaan
Badhta jaayega apna abhimaan.

Ek toh jeevan kee alpagyata ka bhaar
Oopar se duniyavi gyan ka pahaad
Ye sab anubhav gyan ke samaksh nahin hain kuch
Ye sab hain anubhav gyan se bilkul tuchh.

Guruji ke samaksh kar liya sweekaar
Ki mai toh hoon bilkul agyani
Guruji se karti hoon shukrana
Ki Unhonei meri baahein Hain thaami.

Dekar sahaara mujh agyani nimaani ko
Sanvaar kar meri zindagaani ko
Diya Unhonei mujhe ye anubhav gyan
Ki koi nahin hai Unse adhik mahaan
Ki Ve swayam Hain SadaShiv karunanidhaan
Ki Ve dete Hain prerna aur chetna ka daan.

Jo aur jaisa Ve chaahein, mai vahee sochoon aur vaise hee
Karoon bhi vahee jo Ve chaahein aur jabb Ve chaahein, tabb hee
Apna sarvasva kar doon Unhe samarpit sada ke liye
Unkee kripa se bheetar ke agyan ka andhera hota rahe duur
Mere bheetar yoon chhaa jaaye Unkee divyata ka noor
Ki mera antar ho jaaye ujjwal
Mera antar ho jaaye nirmal
Guruji Apni ichcha se karein vo gyan pradaan
Jiske dwaara hota rahe kalyaan
Mera aur doojon ka bhi
Toh saarthak hogi meri zindagi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Saarthak Hogi Meri Zindagi (03/09/2026)

Leave a comment