March 10, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2942
Guruji Kee Goad Mein
Makaan ho apna ya kiraaye ka
Ohda hai iska mehez ik saraaye ka
Par rehte chaloonga ismein jeevan bhar
Ye samajhne kee naadaani kar
Musaafir ekatrit karta gaya saamaan
Saath mein badhta chala uska lobh, moh, jhooth, aur abhimaan.
Maya mein itna mastt hua
Vikaaron ka das bann-ne mein vyast hua
Vishay bhog se grast hua
Phir samay ke chakra kee nemi ne usey chhua.
Kuch aise baney haalaat
Ki naubat aa gayi makaan chodne kee
Tabb apni naadaani par hui usey glaani
Socha kya zaroorat thi itna saamaan jodne kee.
Makaan toh chodna hee pada
Abb thaa veh sadak par khada
Bhavishya ka na kuch socha thaa tabb takk
Abb pachhtaava ho raha thaa athak.
Uss musaafir ka kya hua, mai hoon is se anjaan
Par yaad aaya ki kaise samajh kar is shareer ko sthir makaan
Hum mein se kitne is musaafir kee tareh jeevan dete hain guzaar
Bhool jaate hain ki sanatan ghar nahin hai ye sansaar.
Isey chod kar sabhi ko hai jaana
Yahaan se hona hee hoga ravaana
Na rahega shwaas, na rahega shareer
Aisee hee hai har shareer kee taqdeer.
Karte huey shareer ka satkaar aur poshan
Kyun na karein rooh ko roshan
Guruji ke naam ke noor se
Yoon prerit rahein Guruji kee yaad ke suroor se
Ki shareer ka tiraskaar na karein
Par shareer mein lagan lagaakar moh se mann na bharein
Taaki jabb shareer chodne ka aaye samaa
Toh Guruji kee meher se rooh ko miley Unkee panaah
Na saamaan ka aur na makaan ka ho gumm
Guruji kee goad mein rooh yoon jaaye ramm.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja