Sabhi Ke Mangal Kee (03/13/2026)

March 13, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2945
                 Sabhi Ke Mangal Kee

Guruji Maharaj, Aapki sharan ka hee sahaara hai
Vipatti mein sada Parameshwar ne hee toh taara hai
Aapki hai sabhi par nazar
Tarr jaaye jisey miley Aapki nadar.

Duniya mein kitna kuch ho raha hai
Kitnon ka imaan so raha hai
Behte behte prithvi ka rakt beh jaayega
Dharma kab takk ek taang par jeena seh paayega
Bekusoor maare jaa rahe hain sansaar mein
Bebasi hai inn bekusooron kee pukaar mein
Gunah garaj rahe hain gumaan se
Begunah ho gaye hain itne pareshaan se
Badh rahe hain shareerik, maansik, adhyatmik ghaav
Kumm ho raha hai saamanjasya ka bhaav
Aap hee Samrat Hain
Aap Vaidyanath Hain
Aap hee karunanidhaan
Aap mridd, Aap meharbaan.

Kripa hai Aapki ki sadasheelta ka bhi ho raha hai vistaar
Insaaniyat nibha rahe hain nar-nariyan kayi hazaar
Bhakti aur ruhaani gyan ka bhi ho raha hai prachaar
Duniyavi gyan badhne kee bhi hai tez raftaar.

Sachchaayee prafullit hoti jaaye
Jhooth ke jhamele mein na khoti jaaye
Parde dhakiye
Sumat bakhshiye.

Aapse kuch bhi chhipa nahin
Aap hee jaanein is samay mein bhi kya hai sahi
Aapki rachna hai ye srishti
Aapke hukm se hee ye chalti
Aapke aanchal mein ye palti
Aapke ishaare se hee ye dhalti.

Ye jo hai yug parivartan kee bela
Har koi itnee bheed mein bhi hai akela
Har taraf imtehaan khada hai
Aapke saanidhya ka hee aasara hai
Mai bhi putli hoon chhal aur mal kee
Kaamna karti hoon aaj se behtar kal kee
Ek Aapko hee khabar hai sabke pal pal kee
Aapse dua hai sabhi ke mangal kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sabhi Ke Mangal Kee (03/13/2026)

Leave a comment